Muslim ek se zyada shadiyan kyun karte hai ?

Muslim ek se zyada shadiyan kyun karte hai ?

Aaj hum baat karenge ki Muslim ek se zyada shadiyan kyun karte hai?

 Muslim ek se zyada shadiyan isliye kar sakte hai kyunki Islam me is baat ki ijazat di gayi hai ki aadmi ek had tak hi Ek se zyada wives rakh sakta hai ,jabki aurat ke liye ye ijazat nahi hai ki wo ek se zyada pati (husband ) rakhe .

Ab aap ye sooch rahe honge ki sirf admi ko hi Ek se zyada patni rakhne ki ijazat kyun hai ,aurat ko ek se zyada pati kyun nahi rakh sakti hai?

 

(1) Qur’an ke according

 

“Sirf ek aurat se nikah Karo”

Poori duniya me Qur’an hi Ek aisi religious kitab hai Jo sirf aur sirf ek aurat se shadi karne ka hukm deti hai ,dusri aur koi kitaab nahi hai jis me sirf ek hi aurat se shadi karne ka hukm ho .kisi bhi religious books me hum patniyon (wives) ki sankhya ke baare me koi saboot nahi pate chahe wo kisi bhi mazhab ki kitab kyun na ho.jaise Vedas, ramayan, Mahabharata, Geeta, Bible,ya talmood , in books me aadmi apni desire ke according jitni chahe patniyan rakh sakta hai. baad me kuch religious scholar be iski sankhya ko Kam Kar sirf 1 Kar Diya .

Hinduisam me

Hum dekhte hai ki bahut se religious person jaise ki unki religious books me iska jikr bhi aaya hai ek se zyada patniyan thi. Shri Ram ki ke pita Dashrath unki ek se zyada wives this , Shri Krishna ki bhi ek se zyada wives thi.

Christianity mazhab me

Pracheen kaal ke Christians ko unki desire ke according patniyan rakhne ki ijazat this , kyuni Bible ne patniyon ke numbers per koi Seema nahi rakhi this.kuch Sadi pehle church me wives ke numbers ko Kam karke sirf 1 hi Kar di.

Yahoodi mazhab me:

Isi tarah Jews Yani yahoodi mazhab me bhi ek se zyada wives rakhne ki ijazat hai.talmood (religious book) ke law ke according hazrat Ibrahim ki 3 patniyan this aur hazrat sulemaan ki 100s me patniyan thi .isi tarah ek se zyada wives rakhne ka silsila jari tha baad me jab Israel cheif Rabbi garshoom bin yahooda (960-1030) ne iske against ek rule banaya aur ek se zyada patniyan rakhne per pabandi laga di .jabki Muslim deshon me rahne wale yahoodyon be (1959) Tak is riwaj ko qayam rakha.

(2) Kya Qur’an limited shadiyan karne ki ijazat deta hai?

Jaisa ki pehle bataya gaya ki Qur’an hi Ek aisi kitab hai Jo kahti haisirf ek aurat se nikah Karo”

“Apni pasand ki aurat se nikah Karo ,do ya teen ya chaar agar tumhe dar ho ko Tim unke darmiyaan barabari ke saath insaaf nahi Kar sakte to tum sirf ek aurat se nikah Karo”(Qur’an,4:3)

Qur’an ke awtarit (nazil) hone se pehle shadi karne ki koi Seema nahi hoti thi, bahut se log bahut hi zyada tadaad me patniyan rakhte thi. Islam ne zyada se zyada 4 ki Seema ko fix Kar Diya Yani koi bhi addmi 4 se zyada aurat nahi rakh sakta .lekin shrton ke saath rakhne ki ijazat di gyi hai jab wo unke darmiyaan barabari ka insaaf karne ke layaq ho.

Qur’an ki Surat Nisa ki ayat number 129 me kaha gaya hai :-

Tum patniyon ke darmiyaan insaaf karne me kabhi bhi layeq (समर्थ) nahi hoge”

Qur’an se maloom hua ki Islam me ek se zyada nikah karna koi aadesh ya hukm nahi hai balki ek tarah ka apwaad hai , bahut se log ye samjhte hai ki Islam me 4 shadiyan karna zaroori hai ,lekin ye illusion (भ्रम) hai.

Aam taur per Islam ne kisi bhi kaam ko karne aur na karne ke hisaab se 5 steps me divide Kiya hai

(1)Farz Yani compulsory

(2)Mustahab Yani Jo pasndida kaam ho

(3)Mubaah Yani jiski anumati ho

(4)Makrooh Yani Na pasandeeda kaam

(5)Haram Yani forbidden

 Muslims ka Ek se zyada shadi karna Mubah Ke andar aata hai .jiski sirf ijazat aur anumati hai .Yani ye nahi kaha ja sakta ki jis Muslaman ki 2,3ya 4 patniyan ho wo us musalman se accha hai jis ki sirf 1 hi Patni ho. ki average age males se zyada hoti hai,isi wajah se muslims ek se zyada shadiyan karte hai.

Female ki average age males ki average age se zyada hoti hai

Muslim ek se zyada shadiyan kyun karte hai? Naturally taur per aurat aur aadmi lagbhag ek hi ratio se duniya me janam lete hai ,baccho ki apeksha bacchiyon me rogo se ladne ki ability zyada hoti hai ,baccho ke ilaj ke dauraan ladko ki death zyada hoti hai ,war me bhi aadmiyon ki Marne ki taddad bhi auraton se zyada hoti hai . isiliya hum dekhte hai ki duniya me vidhwaon ki sankhya vidhuro se adhik hai.

Sari duniya me auraton ki taddad admiyon se zyada hai

America me auraton ki tadaad admiyon se bhut hi adhik hai , Britain me bhi auraton ki aadabi mardon se 40 lakh zyada hai , German me 50 laakh,aur Russia me 90 lakh se aage hai.sirf khuda hi janta hai ki poore duniya me auraton ki taddad kitni zyada hai.

Fact:agar har aadmi ek aurat se shadi karta hai tab bhi American state me 3 crore se zyada auratain Bina shadi ke rah jayengi isi tarah 50 laakh auratain Germany me pati se vanchit rah jayengi.aur Russia me 90 laakh auratain Bina shadi ke hi rah paayengi.

Western culture me yeh riwaj hai ki ek aadmi Patni to 1 rakhta hai lekin saath hi saath uski bahut si auraton se relationship hoti hai , jiski wajah se wo aurat unsecured Zindagi jeeti hai

Isi tarah aur bhi bahut se Karan hai ,jinke chalte Islam me limited shadiyan karne ka hukm deta hai lekin main wajah ye hai ki Islam aurat ki izzat aur respect ko baqi rakhna chahta hai.

Islam me Ek se Zyada Husband Rakhna kyun Mana hai?

Kuch log ,is baat per sawal uthate hai ki Islam mard ko to Kai patniyan rakhne ki choot deta hai jabki yeh rights women’s ko nahi hai|

Sabse pehle Mai ye baat poori tarah se saaf Kar doon ki Islam samanta, barabari ka mazhab hai|Allah ne auraton ko aur aadmi ko ek jaise paida Kiya lekin dono ki abilities aur zimmedariyan alag alag hai , auraton aur mard mentally aur physical taur se alag hai .isi tarh mard aur aurat dono barabar hai lekin ek jaise (indentical) nahi hai.

1)agar ek aadmi ke pass ek se zyada patniyan ho to aise shadi se janme bacche ke mata pita ka aasani se pata lagaya ja sakta hai ,lekin agar aurat ke pass ek se zyada pati ho to sirf bacce ki maa ka pata chalega na ki baap ka Islam maa baap ki pahchaan ko bahut zyada importance deta hai

2) ek se zyada pati wali aurat ke ek time me kayi log relation banaye he jiski wajah se usko bimaari lagne ka dar zyada hota hai , aur ye rog us pati ko bhi lag sakta hai .

3) aadmiyon me naturally taur per ek se zyada wives rakhne ki ability auraton se zyada hoti hai.

Inke alawa bahut se Karan hai jiski wajah se khuda me auraton ko ek se zyada pati husband rakhne ko Mana Kiya hai 

aur saath hi saath humne ye bhi jana ki islam me ya muslims ek zyada shadiyan kyun karte hai.

 

5 thoughts on “Muslim ek se zyada shadiyan kyun karte hai ?”

Leave a Comment