Namaz ke wajibaat। नमाज़ के वाजिबात

Namaz ke wajibaat kitne hain। नमाज़ के वाजिबात कितने हैं

Namaz ke wajibaat। नमाज़ के वाजिबात 14  hain, agar namaz me bhool kar wajib choot Jaye to namaz me sajda sahou karna wajib hoga,aur agar Jaan boojh kar chod diya to namaz ko dohrana wajib hai sajda sahou se kaam nahi chalega.

(1) Surah fatiha ka padhna

(2) Surah fatiha ke baad koi surat milana

(3) Farz namazon ki pehli 2 rakat me Qirat karna

(4) Ruku karke seedha khada hona

(5) Dono sajdon ke darmiyaan baithna

(6) Pehla qada karna yani attahiyaat ke liye baithna.

(7) Attahiyaat padnna

(8) Salam kah kar namaz ko mukammal karna

(9) Imam ke liye magrib ,isha ki pehli 2 rakaton me aur fazr ki aur juma,eid aur taraveeh ki sab rakaton me buland awaz se Qirat karna

(10) Witr me dua e Qunoot padhna

(11) Eid ki namazon me 6 se zayada takberaat kahna.

Hum ne Namaz ke wajibaat। नमाज़ के वाजिबात jana ab hum janenge ki Namaz ki sunnatein kya hain। नमाज़ की सुन्नतें क्या हैं

Namaz ki sunnatein। नमाज़ की सुन्नतें

Namaz ki kitni sunnatein hain। नमाज़ की कितनी सुन्नतें हैं

Namaz ki sunnatein 14 hain agar aap in sab baaton ka khayal karte hue namaz ada karte hain to aap ki namaz sunnat ke mutabiq hogi .Namaz ki sunnatein ye hain.

(1) Takbeer yani Allahuakbar kahte hue dono hathon ko kano tak uthana

(2) Mardon ko naaf ke niche aur auraton ko seene per haath bandhna.

(3) Sana padhna yani subhanaka allahumma se lekar akhir tak padhna

(4) Tauz yani Auzubillahiminashshaitanir-rajeem padhna

(5) Tasmiya yani Bismilla-hirrahmanir-rahim padhna

(6)Ruku aur sajda ko jate waqt balki har ek rukn se dusre rukn me jate waqt Allahuakbar kahna.

(7) Ruku se uthte waqt smiyallahuliman hamida kahna

(8) Ruku me subhana rabbiyal azeem kahna. Kam se kam 3 baar kahna.

(9) Sajde me subhana rabbiyal ala kam se kam 3 baar kahna

(10) Dono sajdon ke darmiyaan me aur Attahiyaat ke liye mardon ko left pair per baithna aur Dahine pair khada karna

Auraton ko dono pair right side nikal kar baithna

(11) Darood shraeef padhna

(12) Darood shreef ke baad dua padhna

(13) Salam ke waqt dahine aur bayein taraf munh pherna

(14) Salam me farishton aur muqtadiyaon aur jinnat jo hazir ho un ki niyat karna.

Namaz ke makrohaat । नमाज़ के मकरूहात

Namaz ke makrohaat 13 hain.

(1) Kokh per haath rakhna

(2) Kapda sametna

(3) Jism ya kapde se khelna

(4) Ungliyan chotkana


(5) Dayein ,bayein gardan ko ghumana

(6) Angdaiyaan lena

(7) Kutte ki tarah baithna

(8) Chadar wagerah ko latka hua chod dena

(9) Bina kisi wajah se aalti palati maar kar baithna

(10) Samne ya sar per tasveer hona

(11) Tasveer wale kapde me namaz padhna

(12) Peshaab ,pakhana ya bhook ki shiddat ke saath namaz padhna

(13) Aankhen band karke namaz padna

Popular posts namaz :-

Namaz ka waqt aur rakat

 

2 thoughts on “Namaz ke wajibaat। नमाज़ के वाजिबात”

Leave a Comment