Namaz ka waqt aur raka’t

Namaz ka waqt aur raka’t

Aaj ke is topic me hum Namaz ka waqt aur raka’t ke baare me poori details se janenge .

Fazr ki namaz ka waqt subah Sadiq se shuru hota hai ,aur tulu aftab yani suraj nikalne ke waqt tak rahta hai

Zuhar ki namaz ka waqt suraj dhal jane ke baad se shuru hota hai aur jab har cheez ka saaya yaani shadow doguna na ha jaye tab tak rahta hai.

Asar ki namaz ka waqt us waqt shuru hota hai jab zuhar ka waqt khatam ho jata hai aur suraj chipne tak rahta hai.lekin jab suraj zard yaani orange colour ka ho jaye us waqt asar ka waqt Makrooh ho jata hai.

Jab suraj chip jaye us waqt magrib ka waqt shuru ho jata hai.India aur pakistan me kam se kam sawa ghanta ya dedh ghante tak magrib ka waqt rahta hai.

Magrib ka waqt khatam hote hi isha ka waqt shuru ho jata hai jo ki subah Sadiq tak rahta hai.lekin aadhi raat ke baad isha ka waqt Makrooh ho jata hai.

मसला:- jo waqt isha ka hai wahi Namaz e witr ka bhi hai ,magar bite ki namaz isha ke farzon se pehle nahin padhi ja sakti.

Namaz ki rakatein

Fazr ki raka’t :-

Fazr ki 4 rakatein hai 2 sunnate muakkada aur 2 farz.

Sunnat ki niyat :- dil ke irade ka naam niyat hai zabaan se niyat karna zaroori nahi hai.niyat karta hoon main 2 raka’t namaz sunnat fazr ki ,waste Allah ke rukh mera kaba sahreef ki taraf Allah hu Akbar kah kar haath baandh lein.

Farz ki niyat:- niyat karta hoon 2 raka’t namaz farz fazr ki ,waste Allah ke rukh mera kaba shreef ki taraf Allah hu akbar.

Zuhar ki raka’t:-

Zuhar ki namaz me 12 rakatein hai 4 sunnat muakkada,4 farz,2 sunnat muakkada,phir 2 nafil.

Asar ki rakatein:-

Asar ki namaz me 8 rakatein hoti hain 4 sunnat Gair muakkada ,4 farz

Magrib ki rakatein

Magrib ki namaz me 7 rakatein hoti hai 3 farz,2 sunnate muakkada,2 nafil.

Isha ki rakatein

Isha ki namaz me 17 rakatein hoti hain 4 sunnat Gair muakkada,4 farz,2 sunnate muakkada 2 nafil,phir 3 vitr phir 2 nafil.

Note:- sunnate muakkada sunnaton me sab se zyada taqeed fazr ki sunaaton ki hai.aur unke baad sunnaton ka level hai jo zuhar se pehle hai .unke baad dusri sunnaton ka darja hai ,ihtemaam to sari sunnaton ka karna hai magar fazr aur zuhar ki sunnaton ka khaas intemaam karen.

Nafil namaz aur sunnat Gair muakkada ko chodna jaiz hai magar is se bahut bade sawab se mahroom hoti hai ,aur muakkada sunnaton ko chodna jaiz nahi isiliye usko muakkada kaha gaya hai.

Namaz ki niyat uper diye gaye tarike se hi karni hai lekin namaz ka waqt aur sunnat ,farz nafil, wagerah ko apne hissab se badal le.

Eh hadees me aata hai ki hazrat obada bin samit raziallahu anhu se riwayat hai ki Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya:-

“5 namazein Allah ne farz farmayi hai jis ne in namazon ka wazu acchi tarah kiya aur unko time per padha aur ruku ,sajda acchi tarah ada kiya to uske liye Allah ke zimme ye wada hai ki Allah jalle shanahu usko bakhsh dega aur jis aisa na kiya uske liye Allah ke paas koi zimma nahi Allah chahe to bakhsh de chahe to azab de.”

Sunnate muakkada ki taqeed

Hazrat Abdullah bin saib raziallahu anhu se riwayat hai ki aap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya:-

Fazr ki 2 raka’t namaz sari duniya me jo kich bhi hai us se behtar hai.

 

(Muslim shareef)

Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam zuhar se pehle 4 rakatein padhte the jin me zyada tar der tak khade rahte the aur ruku sajda khoob acchi tarah karte the ,hazrat Abdullah bin masood raziallahu anhu ne farmaya ki din ki nafil namajon me tahajjud ke barabar koi namaz nahi siwaye in 4 rakaton ke yani zuhar se pehle ki r rakat sunnate muakkada.

Hazrat aisha raziallahu anha farmati hai ki Allah ke rasool farz namazon ke alawa sab se zyada pabandi ke saath fazr ki 2 sunnate padhte the.

(Bukhari)

To aaj humne Namaz ka waqt aur raka’t ke bare me aur sunnate muakkada ke baare me tafseel se hadeeson ki roshni me jana .

Agar aapke koi sawal hai to aap comment section me zaroor batayen.

Jazakallah hu khair

popular post:-

Namaz ki ahmiyat aur farziyat

Gunahon Se Tauba kaise karen?

Wazu karne ka tarika

 

3 thoughts on “Namaz ka waqt aur raka’t”

  1. I’m extremely inspired with your writing abilities and also with the format for your weblog. Is that this a paid topic or did you customize it yourself? Either way keep up the excellent quality writing, it is uncommon to peer a great blog like this one today.

    Reply

Leave a Comment