Namaz ki ahmiyat aur farziyat

Namaz ki ahmiyat aur farziyat

Namaz Islam ka dusra rukn hai Quran aur hadees me namaz ki sakht takeed aayi hai Namaz ki farziyat ka inkar karne wala aadmi kafir hai aur us ka na padhna bahut bada gunah hai.hadees shreef me Namaz ki ahmiyat aur farziyat ke baare me irshaad hai Allah ke rasool saw ne irshaad farmaya “apni aulad ko namaz padhne ka hukm do jab wo 7 saal ke ho Jaye unki pitai karo jab wo 10 saal ke ho jaye aur unke bistar alag kar do”.

(miskaat Shareef pg no.57 reference Abu Dawood)

Ek doosri hadees me aaya hai ki Namaz hamare aur kafir ke darmiyaan me farq karne wali hai yani jis ne namaz chod di usne kufr ka kaam kiya

Islam me Namaz ka maqaam aur ahmiyat

Islam ke bahut sare faraiz hai magar Namaz ko jo maqaam diya gayabhai us ki wajah ye hai ki Namaz ki ahmiyat aur farziyat aur uska maqaam bahut bada hai Namaz ka buland maqaam is se samajh lo ki aur doosre faraiz ko zameen per rahte hue hukm diya gaya jabki Namaz ko aasmaan per Allah ke rasool saw ko meraj kara kar is duniya me ata ki gayi.aur islam ke faraiz me Namaz is duniya me sab se pehle farz hui.aur akhirat me bhi mmnamaz ka hi sab se pehle hisaab hoga .balki akhirat me har kamyaabi ka base Namaz hi hoga .Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya:-

“Qayamat ke din bande ka amaal ka jo hisaab hoga un me sabse pehla number Namaz ka hai ,agar Namaz theek nikli to bandah kaamyaab hoga aur agar Namaz hi kharab nikli to nakaam hoga aur khasare me pad jayrga yani nuksaan uthayega.”

Khulase kalam ye hai ki Namaz sab se pehle Faraz hui aur Qayamat ke din namaz hi ka sab se pehle sawal kiya jayega . Qayamat me kamyaabi aur nakaami ka faisla Namaz ke theek hone aur na theek hone per hi hoga.Bahut se log Namaz nahi padhte hai magar apne aapko pakka jannati samajhte hai unko shaitaan ne dhoka diya hua hai.nammaz nahi padhte lekin dawa to muft me dete hai, hospital me free kaam to karte hai,samaj sewa karte hai aur bahut se tariqe jin se wo itminaan me rahte hai ki Allah ke hisaab ke din kamyaab ho jayenge lekin nahi mere dosto ye galat-fahmiyan hai aur kuch nahi jab aap duniya ki tamam nekiyan ka do jab tak Namaz durust nahi sab nekiyon ke liye rukaawat ho jayegi agar Namaz nahi to koi bhi neki qubool nahi hogi.

Akhirat ki kaamyabi sab se badi kamyabi hai

Jin logon ne Isaam ko apnaya Qur’an o sunnat ko haq mante hai un logon ke najdeek akhirat ki kamyabi se badh kar koi cheez nahi ,aur akhirat ki kamyabi Namaz me hai to Namaz ko pabandi se padhna sare kaamo se badh kar hua Namaz ki wajah se Zara se aaram me farq aata ho , kisi duniyavi kaam me thoda bahut nuqsaan ho jata ho to aqalmand aadmi ke liye akhirat ki be intiha kamyaabi ke saamne us ki kuch haqeeqt nahi ,Zara jannat ki nemato aur wahan ke mahlo aur nehro aur sone ke darakhto ka khayal karo ,phir dojakh ki aag ka tasauur karo jo duniya ki aag se 29 guna zyada garam hai, ye gaur karke hisaab lagao ki agar aisi nemat ke milne aur aisi aag se bachne ke liye thodi neend qurbaarn karna pade ,thoda sa kaam rokna pade ,to ye aqalmandi ki baat hogi.taqi akhirat ki wo tamam nemate mil sake.

1 Namaz ki qimat

Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya:-

jiski asar ki(ek namz) jati rahi uska is qadar nuqsaan hua jaise uske al aulaad aur sara maal khatam ho gaya ho.”

Munafiq ki namaz

Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya:-

Ye munafiq ki namaz hai ki baithe baithe suraj ka intezaar karta rahta hai aur jab suraj peela pad jaye to khade ho kar jaldi jaldi murg ki tarah 4 thoonge marta hai aur khuda ko bas zara sa yaad karta hai.

 

(Mishqaat Shareef)

Munafiq jab namaz ke liye khada hota hai hai to susti aur kahili ki halat me khada hota hai ,namaz padhte waqt badn per susti aur kahili sawar hona momin ki shaan nahi hai.namaz khusu khuzu aur itminaan ke saath padhni chahiye.

Namaz me khusu wa khuzu ki ahmiyat

Namaz ke khusu khuzu ka bada martaba hai Namaz is tarah padhi jaye ki Allah hum ko dekh raha hai agar ye kayfiyat nahi ho pa rahi hai to ye khayaal karte hue namaz padhe hi Allah subhanahu hum ko dekh raha hai, khoob dhyan lagane aur baar baar isi ki taraf tawzzah lagane se khusu wa khuzu hasil hota hai .khushi bahut hi badi cheez hai.allah ne Quran me irshaad farmaya.

” wo imaan wale kamyab ho gaye jo apni namaz me khusu karne wale hai”.

Namaz me daman theek karna, musalle ke darwaze aur minare ki ginti gin na. Zameen per giri hui jankariyan uthana,ye sab Makrooh hai.isse khusu khuzu me farq aata hai.

Wo har cheez Makrooh hai jinse namaz me dil bat jaye.bahut se log hai Namaz is tarah padhte hai jaise koi tofaan aaya ho koi bhi rukn theek se ada nahin karte Allah ke rasool ne ise namaz me chori bataya hai.kuch namaziyon ke liye namz baddua bhi karti hai jo log namaz ke arkaan ko theek tarah se ada nahi karte hadees me aata hai:-

Jo log namaz ko be waqt padhte hai aur wazu bhi accji tarah nahi karte hai aur na hi namaz me poori tarah dil lagate hai na ruku na sajda acchi tarah ada karte hai to namaz wahan se rukhsat ho jati hai aur baddua deti hui jati hai ki Allah tujhe zaaya (barbaad ) karde jis tarah tu ne mujhe zaaya kiya ,phir wo namaz purane kapde me lapet kar namaz padhne wale ke munh per maar di jati hai.

(Tibrani)

To aaj hum ne Namaz ki ahmiyat aur farziyat ke baare me tamam hadeeson se jana .Allah hum sab ko namaz ki pabandi karne aur khushu khuzu ke saath nammaz padhne ki taufeeq ata farmaye. Ameen

Share for khair

populer posts

Gusal karne ka tarika

Wazu karne ka tarika

Juma ki namaz ka tarika

4 thoughts on “Namaz ki ahmiyat aur farziyat”

Leave a Comment