Qayamat kya hai? Qayamat kab aayegi?

Qayamat kya hai?

Aaj hum sab janenge ki Qayamat kya hai Qayamat kab aayegi?. Qayamat kin logon per aayegi mukammal Maloomaat ke saath.

 

Is duniya ko Allah ne paida kiya tamam insano,janwaron,pahad zameen in sab ko allah apni qudrat se ek din fana kar dega us din Allah ka ek farista soor phoonke ga us din zameen,aasmaan ,pahaad, chaand ,sitare ,insaan ,janwar sab ke sab khatam ho jayenge yahan tak ki soor phoonkne wala bhi fana ho jayega.usi din ko Qayamat kahte hai Qayamat kya hai? Qayamat kab aayegi? ulama e kiram ne is topic pe hazaron page ki tahreer likhi hui hai .halanki ye topic bahut hi faila hua hai .Qur’an me irshad e khuda hai.

یٰۤاَیُّہَا النَّاسُ اتَّقُوۡا رَبَّکُمۡ ۚ اِنَّ  زَلۡزَلَۃَ  السَّاعَۃِ  شَیۡءٌ  عَظِیۡمٌ ﴿۱

 

“Aey logo ! apney perverdigar ( kay ghazab ) se daro . yaqeen jano kay qayamat ka bhonchal bari zabardast cheez hai.”


یَوۡمَ تَرَوۡنَہَا تَذۡہَلُ کُلُّ مُرۡضِعَۃٍ عَمَّاۤ اَرۡضَعَتۡ وَ تَضَعُ

کُلُّ ذَاتِ حَمۡلٍ حَمۡلَہَا وَ تَرَی النَّاسَ سُکٰرٰی وَ مَا ہُمۡ  بِسُکٰرٰی وَ لٰکِنَّ عَذَابَ اللّٰہِ شَدِیۡدٌ ﴿۲

 

jiss din woh tumhen nazar aajaye ga , iss/uss din her doodh pilaney wali iss/uss bacchay ( tak ) ko bhool bethay gi , jiss ko iss/uss ney doodh pilaya , aur her hamal wali apna hamal gira bethay gi , aur log tumhen yun nazar ayen gay kay woh nashay mein bad-hawas hain , halankay woh nashay mein nahi hun gay , balkay Allah ka azab bara sakht hoga .

Surat No 22 : سورة الحج – Ayat No 2 

Qayamat kin logon per aayegi

Hazrat Iesa alahissalam ki wafaat ke baad jab Qayamat aane ko sirf 40 saal baqi rah jayenge tab ek thandhi khusbu daar hawa chalegi jo logon ke baglon ke niche se guzre gi jis ka asar ye hoga ki jitne musalman hai unki rooh nikal jayegi aur kafir hi kafir rah jayenge inhi kafir per hi Qayamat aayegi Qayamat ki nishaniya batai ja chuki hai inme kuch zahir ho chuki hain aur kuch zahir hona baqi hai.

Qayamat kab aayegi?

Jab Qayamat ki nishaniya poori ho jayegi aur Musalmano ke bagal se ek khusbu daar hawa guzre gi jis se Musalmano ki wafat ho jayegi us ke baad 40 saal ka time aisa guzrega jis me kisi ke aulaad nahi hogi yani ki 40 saal se kam age ka koi bhi nahi hoga aur poori duniya me sirf kafir hi kafir rah jayenge Allah kahne wala koi bhi nahi hoga.muharram ki 10 wi tareekh hogi Jume ka din hoga usi din Qayamat aayegi .

Qayamat kis tarah aayegi?

Qayamat aane se pehle koi khana kha raha hoga koi apna kaam kar raha hoga koi so raha hoga koi running kar raha hoga yani ki sab apne apne kaam me lage hue honge phir achanak Allah ki tarf se hazrat israfeel alahissalam ko jo ki Allah ke farishte hai hukm hoga soor phoonke hazrat israfeel alahissalam soor phonkna shuru karenge pehle iski awaz halki hogi baad me dheere dheere bahut buland aur ghabrane wali hogi ,log kaan laga kar is awaz ko sunenge aur behosh ho jayenge aur mar jayenge yahan tak ki khud soor phonkne wala farishta bhi fana ho jayega .us waqt sirf Allah ke koi nahi hoga .phir jab Allah chahega israfeel alahissalam ko zinda karega aur dobara soor phonkne ka hukm dega.is baar soor phoonke hi tamam log jo pehle mar chuke the aur jo baad me mare hai sab apni apni qabron se nikal padenge .unka ammal nama unke haath me Diya jayega aur hashr ke maidaan me Kate jayenge phir yahan hisaab kitaab ke liye khade hona padega .us waqt zameen tanbe yani copper ko ho jayegi aur suraj bahut hi niche aa chuka hoga garmi ki skhti se dimaag ubal raha hoga. Zabanein sookh kar kaanta ho jayengi .kuch ke munh baha nikal aayenge paseena bahut aayega kisi ke takhno tak kisi ke seene tak kisi ke munh tak aur kisi ke sir tak jis ka jaisa amal hoga usi tarah ki uski takleef hogi aur paseena bhi bahut hi badbudaar hoga isi halat me bahut der ho jayegi 50000saal ka 1 din hoga log bikul pagal ho chuke honge aur sifarshi dhoondh rahe honge jo unko us museebat se chutkara dilaye.

Phir sab log mashwarah karke hazrat Adam alahissalam ke paas jayenge wo kahenge hazrat nooh alahissalam ke paas jao phir nooh alahissalam hazrat Ibrahim alahissalam ke paas bhej denge hazrat ibrahim hazrat Musa alahissalam ke paas bhej denge hazrat Musa hazrat Iesa. Ke paas aur hazrat Iesa hazrat muhammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam ke paas bhej denge .jab log humare aaq ke paas aayenge aur shifa’at ki darkhwast layenge to allah ke rasool farmayenge ki mai uske liye tayyar hoon phir aap Allah ke samne sajde me gir jayenge irshaad hoga ay Muhammad saw apna sir uthaiye jo mango he suna jayega aap farmayenge meri ummat ko bakhsh de . ab hissab shuru hoga mizaan lag jayega sab ke ammal ko tarazoo per balance kiya jayega .Qur’an me Allah ka irshad hai.

Surat No 3 : سورة آل عمران – Ayat No 161

وَ مَا کَانَ لِنَبِیٍّ اَنۡ یَّغُلَّ ؕ وَ مَنۡ یَّغۡلُلۡ یَاۡتِ بِمَا غَلَّ یَوۡمَ الۡقِیٰمَۃِ ۚ ثُمَّ تُوَفّٰی کُلُّ نَفۡسٍ مَّا کَسَبَتۡ وَ ہُمۡ لَا یُظۡلَمُوۡنَ ﴿۱۶۱

aur kissi nabi say yeh nahi hosakta kay woh maal ghaneemat mein khayanat keray , aur jo koi khayanat keray ga woh qayamat kay din woh cheez ley ker aaye ga jo iss/uss ney khayanat ker kay li hogi , phir her shaks ko iss/uss kay kiye ka poora poora badla diya jaye ga , aur kissi per koi zulm nahi hoga .

Isi tarh apne hi haath pair apne hi badan ke hissa apne hi khilaf gawahi denge ,zameen ke jis hisse per bhi koi galat kaam kiya hoga sab gawahi denge ,na beta baap ka hoga na baap beta ka hoga sab ke sab pareshani ke Alam me honge na gunah kam ho sakte hai ab na to nekiyan mil sakti hai is be basi ke waqt Allah ke rasool saw alaihi wassalam kaam aayenge aur apne manne walon ki shifa’at farmayenge.

to dosto aaj hum ne jana ki Qayamat kya hai Qayamat kab aayegi? poori detail me.

share for khair

jazakallah

 

7 thoughts on “Qayamat kya hai? Qayamat kab aayegi?”

Leave a Comment