Gusal karne ka tarika

Gusal ka sunnat tarika

Aaj hum janenge ke ki Gusal karne ka tarika kya ,kis tarah Gusal karte hai Gusal kr faraizkya hain, aur Gusal se related kuch zaroori masail pe hum baat karenge

Gusal ka sunnat tarika

gusal shuru karne se pehle hathon ko gatton samet 3 baar dhule phir namaz ki tarah wazu kare jis tarah namaz ke liye wazu karte hai,phir badan per tel ki tarah pani ko Dale uske baad Dahine shoulder per 3 baar pani bahaye uske baad 3 baar bayein shoulder per pani bahaye phir sir per paani daale uske baad poore badan per pani bahye aur poore badan ko towel se pooch kar uske baad Gusal Karne ki jagah se alag ho jaye.

Gusal karne ke dauraan ki bhi tarah ki baat na kare

Nahate waqt qibla ki taraf rukh na kare

Us jagah per nahaye jahan kisi ki nazar na pad sake agar aisa jagah nahi hai hai to satar yani qamar se guthne tak ka hissa dhaap le

Ihtiyaat ki jagah nange ho kar nahane me koi harj nahi hai

Auraton ko baith kar nahana behtar hai

Wazu karne me jo baatein suunat aur Mustahab hai wahi batein Gusal me bhi hai.

Janiye wazu karne ka tarika👇👇👇

Wazu karne ka tarika

Gusal ke faraiz

Gusal karne ka tarika upar bayan hua hai is me 3 batein farz hai jin bina Gusal nahi hoga .

Gusal me 3 batein farz hai

(1) Kulli karna

Kulli is tarah kare ki munh ke andar ke sare hisson me pani acchi tarah se pahunch jaye aur halaq bhi acchi tarah tar hona chahiye. Roza ki halat me garara na kare baqi dino me kare.dannton me koi patti gosht ka resha wagerah phansa ho to zaroor nikale agar koi haraj na ho Bina iske Gusal nahi hoga aur jab Gusal nahi hoga to namaz bhi nahi hogi.

(2) Naak me paani dalana

Naak me paani is tarah dale ki naak ki naram haddi tak paani pahunch jaye aur naak ke balon wagerah tak bhi paani pahunchana chahiye .

(3) Poore badan per paani daalna

Poore badan per is tarah paani daale ki uper ke sir se pair ke talwe tak acchi tarah paani bahana kahin per bhi ek baal ke barabar bhi sookha nahi rahna chahiye warna Gusal nahi hoga .Bina Gusal ke namaz nahi hogi.

Kin baton se Gusal farz hota hai

Jin baton se Gusal farz hota hai wo 5 hai yani agar ye 5 cheezen kisi mard ya aurat me paayi jati hai to us per Gusal farz ho jata hai.

(1) Mani ka apni jagah se sehwat ke saath nikalna

(2) ihtelaan hona yani sote waqt mani nikalna

(3) intercourse karna chahe mani nikle ya na nikle

(4) haiz yani periods se faragat hona

(5) baccha paida hone ke baad khoon aane ke baad se faragat hona

-Mas’ala-

Agar mani apni jagah sehwat ke saath nahi nikli balki kisi bojh ke uthane ke wajah se nikli ho tab Gusal wajib nahi hoga balki wazu chala jayega.

Agar mani patli ho peshaab ke saath kuch qatre waise hi nikal jati ho to Gusal wajib nahi hoga balki wazu chala jayega.

 ihraam bandhne ke waqt nahana sunnat hai.Juma , eid, bakra eid ke din Arfa ke din  bhi gusal karna chahiye

Bina Gusal ke kaun kaun sa kaam kiya ja sakta hai

Jis ko nahane ki zaroorat ho us ko masjid me jana , tawaaf karna, Qur’an Majeed choona,haram hai.kiai bhi hadees ko ya tafseer ki kitabon ko haath lagana Makrooh hai, be wazu Qur’an Majeed ya us ki kisi ayat ka choona haram hai .Bina chuye dekh kar zabani padh le koi haraj nahi.

Kis pani se wazu aur Gusal karna jaiz hai aur kis se nahi

Barish ka paani

Samandar ka paani

Nadi ka paani

Nala Jo ki bahta hua saaf paani ho

Kunyen (well) ka paani

Bade Hauz ka paani

Bahta hua paani

Ola aur snow ke pighle hue paani se Gusal aur wazu aur har kism ki taharat jaiz hai.

 

6 thoughts on “Gusal karne ka tarika”

Leave a Comment