Wazu karne ka tarika

Wazu karne ka tarika

Wazu ,jab hum ko namaz padhna hota hai ya quran ki tilawat karni hoti hai ya phir koi bhi ibaadat karni hoti hai to hum sab logon ko wazu karne ko zaroorat hoti hai.allah ki ibadat karne se pehle apne badan ke kuch hisson ko dhona jis ko Allah ke rasool saw ne bataya hai un hisson ko dhone ke amal ko hi wazu kahte hai. ab hum janenge ki wazu karne ka tarika kya hai.

Wazu karne ka sunnat tarika

(1) Bismillah padhna

Jab wazu karne ka irada kare to sab se pehle (Bismilla-hirrahmanir-rahim) padh le tab wazu karna shuru karen.

(2) Hathon ko gatte tak dhona

Phir dono haatho ko gatto tak(kalaiyon) teen martaba dhoye.

(3) Miswak karna

Phir miswak kar ke right hand se 3 baar kulli kare apne halaq aur daanton ko acchi tarah saaf kare,agar daant ya taali me koi cheez chipki ho to usko saaf kare.

(4) Naak me paani dalna

Phir dahine haath se 3 baar naak me pani dale pani yahan tak ko dale ki naak ki naram haddi tak paani pahunch jaye phir bayein(left) hand ko choti ungli se naak saaf kare .

(5) Chehre ko dhona

Uske baad dono hathon me paani lekar 3 baar is tarah se dhoye ko baal ke ugne ki jagah se lekar thody tak dahini kanpati aur bayien kanpati tak koi jagah chootne na paaye. Aur dadhi ka khilal kare yani dadhi me ungliyan daal kar bahar ki taraf kheenche Taqi pani andar tak chala jaye.

Note :-agar ihraam bandhe hye ho to dhadhi (beard) me khilal na kare.

(6) Kuhniyon sameet haath dhona

Phir kuhniyon sameet ya kuch upar tak dono hathon ko 3 teen baat acchi tarah dhoye.

(7) Masah karna

Phir 1 baar masah kare masah is tarah ki dono haat paani se tar karke angoothe aur kalme ki ungli chod kar dono hatho ko teen teen ungliyon ki nok ek dusre se milaye aur poori 6 ungliyon ke pet ki jad maathe per rakh kar piche guddi tak le jaye aur is tarah karen ki kalme ki dono ungliyan aur dono angoothe aur hatheli sir per na lagne paaye.ab guddi se haath wapis maathe ki taraf is tarah layen ki dono guddiyan sar ke dahini aur bayien hisse per se hoti hui maathe tak wapis aajaye.ab kalme ki ungli ke pet se kaan ke andar ke hisso kaa aur angoothe ke pet se kaan ke upar ka masah kare.aur ungliyon ki peeth se gerdan ka masah kare lekin haath gale per na jaye kyunki gale ka masah karna Makrooh hai.

(8) Dono pairon ko dhona

Masah karne ke baad ab dahina pair ungliyon ki taraf se takhne tak dhoye rakhne ke saath kuch uper tak dhoye ,phir isi tarah bayaan pair bhi dhoye, haath aur pair ki ungliyon me khilal kare .ab wazu kahtam hua.

Wazu me kuch cheezen farz hai jinka chod dena se wazu nahi hota hai,aur kuch batein sunnat hai jin ko jan boojh kar chod dena gunahgaar hai,aur kuch batein Mustahab hai jinko chod dene se sawab kam ho jata hai.

 

Wazu ke fariz

Wazu me 4 farz hai

(1) Munh ka dhona

(2)Hathon ko Kuhniyon sameet dhona

(3) chauthayi sir ka masah karna

(4) Dono Pai ko gatto sameet ek baar dhona

Ye 4 batein wazu me farz hai is ke alawa jo batein hai wo ya to sunnat hai ya phir Mustahab hai.

Makruhat e wazu (wo baaton jo wazu me na honi chahiye)

Makruhat e Waze ye hai ,

(1) pani ko bahut kam ya bahut zyada istemaal karna

(2)Chehre per jor se pani marna

(3)Masjid ke andar wazu karna

(4) Napaak jagah per wazu karna

(5) Dahine haath ka istemaal na karna

(6) Bina kisi zaroorat ke kisi ki madad lena

(7) Bina zaroorat duniya ki baatein karna

(8) Chehre dhote waqt aankon ko zor se band kar lena

(9) 3 martaba naye pani se masah karna.

Jin cheezon se wazu toot jata hai

(1) peshaab ya paikhana ya hawa ka nikalna

(2) Be hoshi hona

(3) Junoon ya nasha me aana

(4) Munh bhar kar ulti (vomiting) Aana

(5) Namaz me zor se hasna

(6) khoon ki miqdaar thook me zyada hona

(7) Neend ka aana

(8) Mubashrat(intercourse) karna

Wazu ki fazilat

Wazu namaz ki chabhi (key) hai ,jab koi musalman wazu karta hai to us ke chote gunah yani gunahe Sageera wazu karne ke saath saath dhul jate hai

Kya hai gunahe Kabira aur Sageera?janiye๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡

Kabira Gunah Aur Sageera Gunah kya Hai?

 

Jo shakhsh wazu hone ke baad bhi dubara taza wazu karta hai to uske nama e amaal me 10 nekiyan likh di jati hai ,aur jo wazu bana kar sota hai to faishte uske saath rahna pasand karte hai aur usko shaitaan se hifazat karte hai.etc aur bhi bahut se fazail wazu se mutalliq aye hai.

Conclusion:-

To aaj hum logon ne wazu karne ka tarika ,wazu ki fazilat ,wazu ke faraiz,aur jin baton se wazu toot jaya hai wo sab hum logon ne jana aapko ye post kaisi lagi comment section me zaroor batayen aur apne saathiyon ke saath share karna bikul bhi na bhoole.

Agar wazu se related aap ke koi sawal hai to aap mujh se comment me pooch sakte hai.

 

4 thoughts on “Wazu karne ka tarika”

Leave a Comment