Kabira Gunah Aur Sageera Gunah kya Hai?

गुनाहे कबीरा और सगीरा क्या है

Aaj hum janege ki  Kabira Gunah aur Sageera Gunah kya Hai ?Har gunah ki do kism hai aur  dono qism ke gunahon se tauba karni lazim hai.Gunahe kabira ke bare me ulma ka ikhtelaf hai .jiski tadaad 4,7,9,11 batayi gayi hai. Lekin kuch logon ne us ki taddad 17 batayi hai.ek gunah aadmi ko jahannam me le jane ke liye kaafi hai.kabira gunah ka matlab hai Bada Gunah.

Kya hai Gunahe Kabira


Gunahe kabira wo hai jin ki saza jahannam hai ,aap sallahu alahe wasallam ne irshaad farmaya.

“Jin baton se Allah ne Mana farmaya dar asal wo sare hi kabira Gunah hai “

Kabira gunahon ki Mafi bigair tauba ke nahi hai Yani agar kisi me Jane ya anjane me koi kabira Gunah Kar liya hai to us ko tauba zaroor karni chahiye Bina tauba me kabira gunahon ki Mafi nahi hoti.

Chaar kabira Gunah Aise Hain jinka talluq zaban se Hai


(1) Jhoothi Gawahi dena:- Kabira Gunahon me se ek bada gunah ye bhi hai ki kisi ke maal ya zameen ke liye ya kisi muqadme me kisi zalim ,na haq aadmi ki taraf se Sach per parda dalne ke liye Jo Gawahi di jati hai ye bahut hi bada Gunah hai aur Bina tauba wa astagfaar ke Allah ke yahan iski Mafi nahi hai.

(2) Nek Aurat per ilzaam lagana :- kisi nek aurat per jhootha Zina ka ilzaam lagana is Gunah ki bahut hi sakht mazammat ki gayi hai aur is Gunah ki bhi Bina tauba ke Mafi nahi hai

(3) Jhoothi Qasam Khana (Yani jhoot ko Sach Banane me ya kisi ke maal ko be Imani ke saath hasil karne ke liye Qasam khana)

(4) Jaado (magic) Islam me Jaado aur is tarah ka sifli Amal Kar ke numaish karna Haram hai aur kabira Gunah hai. Kuch log sirf entertainment ke liye jado (magic) sikhate hai aur dikhate hai iska seekhna aur isko dekh Kar is per hairani, tajjub karna bhi kabira Gunah hai .lihaza is gunahon se bachna bahut hi zarori hai. Aur agar Zindagi me ye Gunah ho chuke hai to Allah ke samne tauba Kare aur apne gunahon ki Mafi apne rab se mange .

2 Kabira Gunah Aise Jo Private Part se related Hai


(1)Zina karna:- Yani kisi bhi mard ya aurat se illegal relationship banana

(2) Lawatat karna:- yani qaume- loot Wala Amal karna

 

2 Kabira Gunah Aise Jo Hathon se Related Hai


(1) Bina kisi wajah se kisi ka Qatal(Murder) Kar dena

(2)Chori karna :- kisi ka samaan uski ijazat ke Bina utha Lena ya Chori Kar Lena

1 KabiraGunah aisa Jiska Talluq Pair(leg) se Hai

wo ye ki koi admi kisi jang se aisi halat me wapis laut aaye ki musalman 2 kafiron ke muqable se, 10 musalman 20 kafiron ke muqable se,100 admi 200 admiyon se bhaag Kar laut aaye.


1 Gunah Aisa jis ka Talluq Jism Se Hai

Maa baap ki nafarmani karna tamam bade gunahon me se bada Gunah hai agar maa baap khane ko maange Jo unko khane ko na den , unke saath maar peet Kare , unko pareshaan karna ye sab ke sab kaam Kabira Gunahon ki list me aata hai Bina tauba ke Allah ke yahan is ki Mafi nahi.


Kya Hai Gunah Sageera?

Gunah Sageera an ginat hai jin ko Gina bhi nahi ja sakta . Lekin Gunah chota ho ya bada ek Gunah bhi admi ko jahannam Tak le Jane ke liye kafi hai . Apne nafs ko do tarah ke gunahon se paak karne ki koshish karni chahiye . Kabira Gunah se tauba karne se Sageera Gunah bhi maaf diye Jate hai.jaisa ki Allah ka irshad hai –

Jin Kabira Gunahon se Mana Kiya gya hai tum un se tauba Karo to hum tumhare sare Gunah maaf Kar denge

Insaan ke andar taqwa (Rithousness ) tabhi aata hai jab wo apne aap ko Kabira aur Sageera gunahon se mahfooz Kar le.aur chote se chote gunhaah ko haqeer na Jane in San se bhi apne AAP ko bachaye .kuch gunah Jo ki Sageera gunah ki list me aate hai ye hai

Kisi ko Gali Dena

Kisi ko na haq pareshaan karna

Apne se bade logon ki izzat na karna

Kisi ki burai bayan karna

Kisi ke Dil ko dukhana

Wada khilafi karna

Masjid me baat karna

Padosiyon ko pareshaan karna

Munh se buri baat nikalna

Aur bahut se be shumar Gunah hai jin se him sab ko bachne ki koshish karni chahiye .jin gunahon ko admi bahut hi chota samajhta hai lekin Allah ke saamne wo bahut hi bada hota hai. Allah ke rasool saw me farmaya

Momin apne gunahon ko pahaad (mountain) ki tarah samjht hai Jo uske sar per ho .aur use dar hota hai ki kahin ye Gunah us ke sar per na got Jaye .aur isi ke opposite Munafiq apne gunahon ko bahut hi chota samajhta hai jaise naak per baithi Hui makkhi jab chahega uda dega.”

Kisi bhi Gunah ko chota nanhi samjhna chahiye balki har time apne Allah ka khauf apne Dil me rakhna chahiye .taqi har wo baat Jo Allah aur uske rassol ke khilaf ho usko Gunah maloom ho.

Agar aapko ye post acchi ago Jo to apne Doston ke saath zaroor share Karen.

Jazakallahu khair:

ye bhi padhe↓↓↓

Qurbani karne ka Tarika?

Juma ki namaz ka tarika?

 

6 thoughts on “Kabira Gunah Aur Sageera Gunah kya Hai?”

Leave a Comment