Qurbani karne ka tarika
Aaj hum janenge ki Qurbani karne ka tarika kya hai ,ya qurbani kis tarah karte hai lekin usse pehle ye jaanna zaroori hai ki Qurbani kya hai . aur Qurbani kyun ki jati hai.
Qurbani kya hai?
qurbani ek mali ibadat hai jo ki sirf maal daar logon per hi wajib hai.kisi khaas janwar ko khaas din me allah ki raza ke liye zibah karna Qurbani kahlata hai. isilye Qurbani ki jh
Qurbani ka janwar
Dumba, Bakra, bher ki Qurbani sirf ek aadmi ki taraf se ki ja sakti hai, aur cow, bail, bhains, aur camel ki Qurbani 7 logon ki taraf se ki jasakti hai. qurbani ke janwar ka seengh wagerah toota hua nahi hona chahiye aur naak aur kaat bhi kate hue nahi hona chahiye, andha,jism per choot laga hua ,bimaar ya 1 saal se kam ka nahi hona chaiye. bhains 2 saal aur camel(uont) 5 saal ka hona chahiye.
Qurbani karne ka waqt
10ween zil-hijja ki subah sadiq se 12 ween zil-hijjah ke suraj dhalne tak ,yani teen din aur do raatein. lekin 10 ween zil-hijja ka din qurbaani karne ke liye sab se afzal hai ,uske bad11 wee zil-hijjah aur phir 12 ween zil-hijjah ka din afzal hai.
Qurbani karne ka tarika
Step:1
Qurbani karne se pehle janwar ko ghaas aur pani de den aur churi tez kar len ,lekin jan war ke saamne nahin.
Step :2
jaanwar ko bayein pehloo is tarh litaye ki qibla ki taraf us ka munh ho,aur zibah karne wala apna dahina pair us ke pehloo per rakh kar tez choori sezldi se zibah kar de.aur zibah krne se pehle ye dua padh le.
Qurbani karne ki Dua
Qurbani karne se pehle ki dua
إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لَا شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ، بِسْمِ الله الله أَكْبَرُ.
इन्नी वाज्जहतू वाजहिया लिल्लज़ी फतस्समावाती वलअर्ज़ी हनीफ़ाओं वमा अना मिनल मुशरिकीन इन्ना सालाती वनुसुकि वमहआया वममाती लिल्लाहि रब्बिल आलमीन लशरीका लहू वबिजालिका उमिरतु वअना अव्वलुल मुसलिमीन.
Step:3
zibah karne ke baad ki dua
Muslim ek se zyada shadiyan kyun karte hai?
Kya Islam Talwaar se Faila hai?
Qurbani ka gosht
- Agar janwar me kai hisse hai jaise ki cow ya camel me to gosht ko balance kar le. aur agar kisi me zyada chala gaya to maaf karna se bhi jaiz nahi hoga.
- jo aapka hissa hai uske teen hisse karen usme se 1 hissa dosto ko 1 hissa faqeeron ko aur 1 hissa anpne ghar walon ke liye rakhe .khud bhi khaye aur baccho ko bhi khilayen agar parivaar me zyada loig hai to poora gosht bhi ghar me lagaya ja skta hai.
- qurbani ka gosht gair muslim ko diya ja skata hai.
- qurbani ke janwar ki khaalon ko madarse me de dena zyada behtar hai.
- janwar ki khaal ko zibah karne wale ko mazdoori ke taur per nahi diya ja skta hai .
aaj hum sab ne jaana ki Qurbani karne ka takika, qurbani ka janwar ,qurbaani karne ki dua ,aur qurbani ke ghost se mutalliq batein ,
maloomat share kare apne dosto ke saath ;jazakallah
7 thoughts on “Qurbani karne ka Tarika?”