Tahajjud ki namaz ki fazilat

Tahajjud ki namaz ki fazilat

Aaj ki is hadees me hum janenge ki Tahajjud ki namaz ki fazilat kya hai aur iski kya ahmiyat hai

أَخْبَرَنَا يَعْقُوبُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ قَالَ حَدَّثَنَا يَحْيَى عَنْ ابْنِ عَجْلَانَ قَالَ حَدَّثَنِي الْقَعْقَاعُ عَنْ أَبِي صَالِحٍ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ رَحِمَ اللَّهُ رَجُلًا قَامَ مِنْ اللَّيْلِ فَصَلَّى ثُمَّ أَيْقَظَ امْرَأَتَهُ فَصَلَّتْ فَإِنْ أَبَتْ نَضَحَ فِي وَجْهِهَا الْمَاءَ وَرَحِمَ اللَّهُ امْرَأَةً قَامَتْ مِنْ اللَّيْلِ فَصَلَّتْ ثُمَّ أَيْقَظَتْ زَوْجَهَا فَصَلَّى فَإِنْ أَبَى نَضَحَتْ فِي وَجْهِهِ الْمَاءَ.

Hazrat Abu huraira razi Allahu tala anhu se riwayat hai ki Allah ke rasool saw ne irshaad farmaya Allah tala us mard per raham farmaya jo raat ko tahajjud ke liye utha aur usne Tahajjud ki namaz padhi aur apni biwi ko bhi jagaya fir usne bhi Ja namaj padh Li,agar Shahar ke jagane per usne inkar Kiya to uske Chehre mein Pani daal diya taki neend Toot jaaye aur Jag jaaye aur jagne ke bad kuchh rakate padh phir farmaya Allah tala is aurat per raham kare jo raat ko Tahajjud ke liye uthi aur usne Namaz padhe Aur Apne shauhar Ko bhi jagaya taki wo bhi tahajjud ki namaz padh le agar biwi ke jagane per Shauhar nahin utha to uske Chehre par Pani daal diya taki neend ka galba door Ho jaaye Aur bedar Ho Kar Namaz padh sake.

(Nisai ,abudawod)

Explanation

Is hadees me Tahajjud ki namaz ki fazilat aur naamz tahajjud padhne walo ko dua di gayi hai ,ye Allah ke pyera Nabi Hazrat muhammad sallallahu alaihi wasallam ki dua hai jo jaroor lag kar rahe gi . Tahajjud ki namaz bahut badi daulat hai ,bas zara uthne ki takleef hai aur aadat ho jane se wo takleef bhi jati rahti hai.

Ek doosri hadees me farmaya

Raat ki namaz yani Tahajjud padha karo kyunki tum se pehle pichli ummaton ke nek log bhi is ko padhte the aur ye namaz tumhare liye Allah se qareeb hone ka sabab hai aur gunahon ka kaffara karne wali hai aur gunahon se rokne wali hai.

 

Tirmizi

Ek aadmi ne sawal kiya ay allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam kon si dua quboliyat ke hisaab se sab duaon se badh kar hai ? Aap ne farmaya pichli Raton ke darmiyaan ke hisse ki dua ,aur farz namazon ke baad ki dua.

(Tirmizi)

Hazrat Abu huraira raziallahu tala anhu se riwayat hai ki Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya”Jab koi mard apni bivi ko jagaye aur dono Tahajjud jo namaz ada kar le to in dono ka naam Allah ki yaad se khaas Talluq rakhne walon me likh diya jata hai.

(Mishqaat Shareef)

Hazart Hazrat Abu huraira rajiya Allahu tala anhu farmate Hain ki aap sallallahu ala wasallam ne farmaya

Har Raat Ko jab tihai Raat reh jaati Hai to Allah tala farmate Hain ki kya koi hai Jo mujhse Dua Karen mein uski Dua qabool Karun kya koi hai Jo mujhse mafi talab Karen aur use maaf Karo, Kaun Hai Jo Aise ko karz de jiske pass sab kuchh hai aur vah zulm karne wala nahin Hai Jo uski Raah me doge use karz me shumar kiya jaega halaki maal isi ka Diya hua Hai FIR usi ka badla dega Ek ke badle 10 to kahin Gaya hi nahin Hai,isase bhi jyada Allah jisko chahe ga bahut jyada badh kar ata farmaye ga ye hadees Muslim Sharif mein hai.

 

Tahajjud ki namaz bahut badi cheez hai ,miyan bivi dono khushi se padha sakte hain  apas me ye plan kar le jo pehle uthe ga wo dusre ko utha dega aur ye bhi plan kar le jo uthne se mana karega uske munh per paani daala jayega Taqi paani daalne ke waqt ladai na ho ,agar husband ki marzi na ho to use na jagao ,khud hi apdh lo Magar saari raat nahi ,shauhar ka bhi haq pahchano aur apni sehat bhi khayal karo.

Agar Tahajjud ke waqt uthna naseeb ho jaye to us waqt naflein bhi padh liya karo aur dua bhi karo jab tak man laga rahe namaz padhi agar neend ka galba lage phir so jao ,Magar fazr ki namaz me uthne ki fikr karo ,chahe alarm lagana pade lagao lekin fazr ki namaz zaroor padhe .

Tahajjud ki namaz ka tarika

Tahajjud ki namaz ki rakat

Tahajjud ki namaz ka tarika ye hai ki 2 raka’t se lekar 4 rakat ya 8 rakat padh sakte hai tahajjud ki namaz me padhne wali suratein koi khaas nahi hai wo sari suratein namaz me padh sakte ho jo aam. Namazon me padhte hai.

Masla:-

Agar Tahajjud ko uthne ka khoob pakka yaqeen na ho to witr ki namaz isha ke waqt na padho , Tahajjud ke baad sab se aakhir me witr padho ,agar us waqt uthne ka yaqeen na ho to isha ke waqt hi witr padh lo.

to dosto aaj humne jana ki Tahajjud ki namaz ki fazilat aur ahmiyat kya hai.dosto agar aaplo ye maloomaat acchi lagi ho to  share karen aur comment me zaroor bataye.

 

4 thoughts on “Tahajjud ki namaz ki fazilat”

Leave a Comment