Namaz ke faraiz

Namaz ke faraiz kitne hai । नमाज़ के फाराइज़ कितने हैं।

Namaz ke faraiz 14 hain isme se kuch faraiz aise hain jinka namaz se pehle hona zaroori hai in sab ko namaz ke khaarji faraiz bhi kahte hain.aaur kuch faraiz aise hain jinka namaz me hona shart hai jisko daakhili faraiz kahte hain.inki list ye hain.

(1) Badan ka paak hona

(2) kapde ka paak hona

(3) satar ka chipana yaani mardon ko naaf se guthno tak aur Aurat ko Chehre aur hatheliyo aur pairon ke alawa poora badan dhakna farz hai.

(4) Namaz ki jagah ka paak hona

(5) Namaz ka waqt hona

(6) Qibla ki taraf munh karna

(7) Namaz ki niyat karna

(8) Takbeer e tahreema tanai Allahuakbar kahna

(9) Qayam karna yani khada hona

(10) Qirat karna yani 1 badi ayat ya 3 choti ayat padhna

(11) Ruku karna

(12) Sajda karna

(13) Qada-e-akhera karna

(14) Apne irade se namaz khatm karna

Ye the faraiz e namaz inme se koi bhi cheez Jaan kar ya bhool kar na karne per sajda sahou se bhi namaz nahi hogi Namaz ko lautana padega .

  1. Masla :- Aurat per Jume ki namaz farz nahi hai ,wo apne ghar me Jume ke din zuhar ki namaz padhegi ,lekin agar aurat Jume ki namaz ke liye chali gayi aur imam ke piche padh li to Jume ki namaz ada ho jayegi ,phir us waqt namaz e zuhar na padhe.
  2. Agar imam ke piche namaz padhe to ye niyat karna bhi zaroori hai ki imam ki iqtida me namaz padh rahi hoon.
  3. Agar imam ke piche koi namaz padhe to kisi bhi rakat ke surah fatiha ya koi surat na padhe.
  4. Agar fazar ki namaz qaza ho jaye aur suraj nikle aur aankh khule to Sunnat aur farz dino ki qaza padhe agar zuhar ka waqt aagaya aur fazar ki qaza nahi padhi to ab fazar ki sirf qaza padhe sunnaton ki qaza padhne ka waqt guzar gaya. 

Ye bhi padhe :-

Namaz ki ahmiyat aur farziyat

 

Leave a Comment