Gunahon Se Tauba kaise karen?
Aaj janenge ki Gunahon Se Tauba kaise karen? hum sab ki zindagiyon me jane ya anjane me jo gunah hote hai un Gunahon se tauba kaise karen ,Allah se apni gunahon ki magfirat kaise karen , lenkin sab se pehle ye jaanna bahut hi zarori hai ki Tauba kya hai ,kis tarah hum apne gunahon se tauba apne Allah se kar sake.
Allah ke ahkaam ke khilaf kiye hue kaam per insan sharminda ho jaisa Allah ke rasool saw ne farmaya
“Apne Gunah per sharminda hona hi tauba hai is ki nishani ye hai ki admi ka dil naram pad jata hai aur aankon se aansoo nikal aate hai.”
Aap saw ne farmaya :-
“Tauba karne walon ki sohbat ikhtiyar karo yani nuke paas utho baitho kyunki unke dil naram hote hai.”
Tauba ki kitni shart hai
Tauba ki 3 shart hai
(1) Apne gunahon per sharminda hona
(2)Har halat me gunah ko tark kar dena
(3)Dobara gunah na karne ka irada karna
Hadees me aata hai ki:-
” Banda apne gunahon ki wajah se rizq se mahroom kar diya jata hai”
“Zina se mohtaji aur faqeeriAati hai”
Kuch logon ka kahna hai ki jab tum apni zindagi me kuch alag mahsoos karo ya tumhare rizq me tangi ya karobaar me dikkat , pareshaani aaye to ye samajh lena chahiye ki hum ne Allah ke kisi hukm ki nafarmani ki hai. Aur apne nafs ki baat ko mana hai
Aur dekho jab log tum per zaban darazi kare ya dast darazi kre ya koi tum per haath uthaye ya tumhare jaan aur maal ,ya bacchon per musibaten aa rahi hai to jaan lo ki tum ne Allah ke mana hue kaam ko kiya wo sare kaam kiya hai jis se Allah ke hukm ki nafarmani hoti ho us waqt apne aap ko Allah ke aage ro ro kar apne gunahon ki Mafi maange .
Jab zindagiyon me aise haalaat mahsoos ho to samajh lena chahiye ki
Humne Allah per yaqeen nahi kiya,uski Raza per razi nahi hua,bande aur allah ke makhlooq ke beech me insaaf nahi kiya,Allah ke Wade ke khilaf kaam kiya ini wajah se Allah ne hum per ye pareshaani dekar gunahon ki maafi ka mauqa diya jab aadmi gunaah karta rahta hai to uska dil poora kaala ho jata hai uske baad uske dil per Deen ki koi baat asar nahi karti wo gunahon me doobta chala jata hai .lekin jo banda apne gunahon per sharminda hota hai ,aur dubara gunaah na karne ka irada karta hai to Allah us admi se bahut khush hota hai aur us ke gunahon ko maaf farma deta hai.
ye bhi padhe↓↓↓
Kabira Gunah Aur Sageera Gunah kya Hai?
Gunah se tauba karne ki dua
Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih”
(Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu )
(Sunan Abu Dawud, 1517-Sahih
- Gunahon se tauba karne ke liye Namaz padh kar Allah ke samne dua kare
- Tauba astagfaar padhe
- Apne gunahon ka kaffara ada kare
Allah ne apne bandon ko mafi ka option diya hua hai akasar log gunah ko chota samajh kar gunah karte rahte hai aur usi me mubtila ho jate hai lekin dosto humein kisi bhi Gunah ko chota nahi samajhna chahiye. Agar gunah ho bhi gaya hai to fauran 2 raka’t namz padh kar Allah ke samne apne gunahon per sharmindagi ka ihsaas dila kar mafi talab kre.
Gunahon ka boojh insan ko hamesha pareshaan rakhta hai
free ki tension us per sawar hoti hai
depression me chala jata hai
koi bhi cheez me man nahi lagta ye sirf or sirf gunahon ki wajah se hota hai . lekin gunah hai to uski mafi hai ,Allah ke samne khuloos dil ke saath tauba karne se Allah tamam gunahon ko maaf farma dete hai .
Allah hum sab ko tamam gunahon se mahfooz farmaye
Ameen ,share for khair
Sir bahut acha likha hai apne
Masha Allah Allahm dullah