Hafiz e Quran Ki Fazilat Kya Hai
Aaj hum janenge ki Hafiz e Quran ki Fazilat aur uska maqam o martaba kya hai. Allah paak ne Quran ye muqaddas me Qur’an se mutalliq irshaad farmaya hai
إِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّكْرَ وَإِنَّا لَهُ لَحَافِظُونَ
“Hum ne hi is Qur’an ko nazil kiya hai aur hum hi is ke muhafiz hain”
Qur’an Kareem ko hifazat ki zimmedari Allah ne khud apne zimma liya hai lakhon karodo insano ke seeno meis Qur’an ko mahfooz kar diya inhi logon ko Hafiz ke laqab se yaad kiya jata hai.haqeeqat me Hafiz sirf or sirf Allah hai is ki hifazat ka zimma Allah ne le rakha hai lekin Hafiz Quran Qur’an ki hifazat me Allah ke naib hain isiliye in hazraat ko Hafiz kahte hai.
Allah jalle shanahu ne Quran Kareem ki hifazat ke liye do tarike muqarrar kiye hain pehla ye ki qitab ki shakal aur doosra tarika hai Hafiz e Quran ka dil yani Hafiz e Quran apne seeno me Qur’an ko hifz kar lete hai in do tarikon se Allah pak ne Quran ki hifazat ka zimma liya hua hai. Qayamat ke qareeb kitab ki shakal ko aasmaan per utha lenge lekin Qayamat ki baad bhi Hafiz Quran ke seeno me Qur’an maujood rahenge.
Huffaz E Kiraam Ki Fazilat
Hafiz ki ek Gair Hafiz per fazilat
Allah ke rasaool saw ne farmaya
“Hamilene Qur’an ki Fazilat us shakhsh per jo hamile Qur’an nahi hai is tarah hai jis tarah khaliq ki Fazilat makhlooq per hai”.
Huffaz Ashraaf e Ummat Hain
Hafiz e Quran ummat ke shreef log hain jis tarah Allah ke rasool saw ne farmaya
“Meri ummat ke ashraaf Qur’an ke hamilene hai aur raat ko ibadat karne wale hain”.
Maut ke baad Hafiz e Quran ke jism ki hifazat
Hadeeson ki bahut si kitabon me Hafiz e Quran ki Fazilat ke bare me bayan hua hai jaisa ki ek hadees me aata hai.
Hazrat jabir raziallhu anha se riwayat hai ki Rasool sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya “ki jab Hafiz e Quran ki maut aati hai to Allah rabbul izzat qabar ki taraf wahi nazil karte hue farmate hai ki is ke gosht ko mat khana to wo kahti hai mai kaise is ke gosht ko kha sakti hoon jab ki aap ka kalam is ke andar maujood hai”.
Hafiz e Quran ke Maa Baap ka in’aam
Hazrat Maaz jehti raziallahu anha ne huzoor sallallahu alaihi wasallam ka ye naqal irshaad farmaya hai ki “jo shaksh Qur’an padhe aur us per amal kare to uske maa baap ko Qayamat ke din ek taaj pahnaya jayega jo ki suraj se zyada chamak daar hoga agar wo suraj tumhare gharon me ho bas tumhare us shakhs ke baare me kya gumaan hai jo khud aamil ho.”
Jahannam ki Aag se Hafiz e Quran ki hifazat
Hazart uqba bin aamir farmate hai ki mai ne Allah ke rasool saw ko ye irshaad farmate hue suna ki agar Qur’an Kareem ko kisi chamde me rakha jaye phir aag me daala jaye to wo na jalega.
Is hadees se 2 matlab hai
(1) ye ki Qur’an ko kisi janwar ki khaal me rakh kar aag me daala jaye to wo na jale ye ek khaas mojiza hai. Jo aap sallallahu alaihi wasallam ke saath khaas tha jaisa ki tamam anmbiya kiraam ke mojize un ke saath khaas hote the.
(2) doosra Matlab ye hai ki chamde se liya gaya matlab aadmi ka chamda hai .aur aag se jahannam .yani jo shaksh Hafiz Qur’an hai agar wo kisi jurm ki wajah se jahannam me daala gaya to jahannam ki Aag is per asar nahi kare gi’
Dosto kitna ba barkat aur kitna Azeem hai ye Quran jis ke bina namaz tak sahi nahi hoti hai.Balki Qur’an Kareem ka itna hissa yaad karna farz hai jis se namaz ada ho jaye, is zamane me jahan hum musalmano me bahut si be raah Ravi fail rahi hai wahan ek awaz ye bhi hai ki Quran Majeed ke hifz ko fizool samjha ja raha hai. Is ke alfaz ke ratne ko himaqat batlaya ja raha hai aur ye waba aam ho gayi hai.
Aksar musalman apni aulaad ko hifz Qur’an aur dini taleem dilane ke bajaye duniyavi taleem dilana engineer, doctor,aur professor banana zyada pasand karte hai,aur logon ki sooch ye hai ki duiyavi taleem se zindagi settle ho jati hai,sukoon aur chain milta hai aur taraqqi ka rasta khulta hai,jabki ye sari batein allh ke khauf ,akhirat ki fikr se door le jati hai.jisme insaan ko apne nafs ki pairvi karne ki bimaari lag jati hai, aur Deen se door chala jata hai, jabki islami taleem ke hasil karne ke baad insaan ki asli zindagi sanwarti hai.
Conclusion
Duniya aur akhirat ke in’aamaat aur barakaat hasil karne ka sab se aham zariya Quran Majeed hi hai. Zaroorat is baat ki hai ki hum khud bhi aur apni aulaad ko aamil aur Hafiz banaye. hamare gharon se agar koi awaaz aaye to wo Qur’an ki awaz honi chahiye, Quran ko apne seeno se lagayen, aankhon me sajaye, western culture ko apna kar apni akhirat tabah o barbaad na kare balki munkir logon ko Qur’an paak ka saccha Hafiz aur aalim ban kar in ke Napaak mansoobon ko khaaq me mila kar dikhaye.
Humne aaj Hafiz e Quran ki Fazilat per poori detail se jana. Allah hum sab musalmano ko Quran paak ka accha Hafiz, Aalim, Amil banne aur is ke paigaam ko har kisi ko pahunchane aur poore samaj ko islami saanche me dhaalne ki taufeeq ata farmaye.Ameen
Share for khair.
Zaczynamy zyc, kiedy przestajemy sie bac zycia. – Dorothy Thompson