Ayatul kursi ki Fazilat in Hindi

Ayatul kursi ki Fazilat in Hindi

Ayatul kursi Quran shareef me surah Bakara ki ek Aayat hai jo teesre pare ke bilkul pehle page per aayi hai ayatal kursi ki bahut si fazilatein aayi Hui hai  Ayatal kursi ke bahut ke fayde bataye gaye hai bahut se bhai arabic text me likhi hui ayatal kursi nahi padh paate hai unke liye aaj is topic Ayatul kursi ki Fazilat in Hindi hindi text me tarjume ke saath iski fazilat ke baare me quran aur hadees ki roshni me jaanenge.

Ek hadees me aata hai ki Hazrat muhammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat ubayi bin ka’b se Irshad farmaya ki batao ki Quran Majeed me kon si ayat sab se badi hai Hazrat ubayi bin k’ab raziallahu tala anhu ne farmaya Allah aur uske rasool behtar jante hai .Aap sallallahu alayhi wasallam ne phir yahi sawal kiya to unhone farmaya sab se badi ayat ye hai:-

اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ

بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاواتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ

Allahu laaa ilaaha illaa huwal haiyyul qai-yoom, laa taakhuzuhoo sinatunw wa laa nawm. 

lahoo maa fissamaawaati wa maa fil ard, man zallazee yashfa – u – indahooo illaa be-iznih,ya’lamu ma baina ay- deehim wama- khalfahum wala yuhitoona bishaiyeinnm min ilmihi illa bima shaaa’a wasiya kursiyuhus-samawaati wal ard, wala yaooduhu hifzuhuma wahuwal aliyyul azeem.

Ayatul kursi meaning in hindi

Tarjuma:-ayatul kursi ka hindi translation is tarah hai ” wo Allah hai jiske sowa koi ibadat ke laiq nahi ,wo zinda hi aur din ka qayam rakhne wala hai,use na neend aati hai aur na oongh aati hai,aur jo kuch aasmanon aur zameenon me hai sab kuch usi ka hai,kon hai jo uske hukm ke bina shifarish kar sake,wo aage aur piche ki har baat ko janta hai,uske ilm ki koi baat apne ahate me nhi la sakte agar wo na chahe,uski kursi me zameen aur asmaan samaye hue hai ye uske liye bhari nahi ki in sab ki nigehbaami kare ,wahi buland aur badai wala hai .”

Ye sun kar un ki tasdeeq farmate hue aap sallallahu alayhi wasallam ne un ke seene per haath maar kar farmaya tum ko ilm mubarak ho”.

Ek hadees me aata hai ki jab tum raat me sone ke liye apne bistar per jao to pehle ayatal kursi padh lo is tarah karne per Allah tala tumhare uper ek nigrani karne wale farishte ko muqarrar kar deta hai jo tumhe Shaitan ke waswason se mahfooz rakhta hai .

Ayatul kursi ki Fazilat

 

Ayatul kursi ki Fazilat ye hai ki Jis ghar me ayat kursi padh le gayi ho us ghar se shitan yaqeenan nikal kar bhage jata hai. Ayatul kursi Quran Majeed ki tamaam ayaton ki sardar hai.Hazrat Ali razi Allahu tala anhu farmate hai ki Allah ke rasool sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmate hue suna ki Jo shakhs har farz namaz ke baad ayatul kursi padhe us ko jannat me jane ke liye sirf maut hi rukawat bani hui hai aur jo shakhs is ayat ko apne bistar per sone se pehle padhega to Allah tala uske ghar aur aas paas ke gharon me bhi aman rakhega.

Jo shakhs ayatal kursi farz namaz ke baad 1 martaba padhega uski rooh khud Allah tala kabz farmayenge aur wo us admi ki tarah hoga jis ne Allah ke nabiyon aur rasoolon ki taraf se jang ki aur Shaheed ho gaya ho.

Hazart Muhammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya

Ayatul kursi padhte rahne se rizk me barkat hoti hai aur ghar me koi nuqsaan ya chori wagerah nahi hoti hai

Ek hadees me hai ki ek martaba Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat Abu huraira rajiya Allahu tala anhu ko fitre ke mall ki hifazat karne ke liye unki duty lagai ek raat aapne dekha ki ek chor kuch boriya ko utha kar ke ja raha hai aap ne us chor ko pakad liya chor rone laga aur kahne laga main bahut gareeb hoon mujhe jane Den hazrat Abu huraira rajiya Allahu tala anhu ka dil narmi se pighal gaya aur aapne us chor ko jane diya dusre din jab aap ki Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam se mulaqat hui to app sallahu alaihi wasallam ne poocha wo raat wale chor ka kya hua Abu huraira rajiya Allahu tala anhu ne farmaya ki mujhe Taras aagaya tha maine chod diya Aap ne farmaya Abu huraira jo aaj phir aayega usne tumse jhooth bola hai.

Raat hui phir wahi chor aaya aur aapne phir usi chor ko pakad liya aur kaha ki aaj main tujh nahi jane doonga usne kaha mujhe chod de main aapko bahut hi ilm ki baat bataunga lekin mujhe chodne ka wada Karen phir usne kaha raat ko sone ke liye bistar per jate waqt ayatul kursi padh liya karo Allah tumhari raat bhar hifazat farmayega aur Shaitan tumhare qareeb nahi aayega.ye baat sun kar Hazrat Abu huraira ne usko chod diya aur jane diya subah uth kar poora majra Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ko bataya aapne farmaya ki baat to uski theek thi per wo 3 din tak tumse jhoot bola wo shitan iblees tha.

Ayatul kursi in hindi text

Ayatul kursi in hindi

अल्लाहु ला इला-ह इल्लल्लाहु-वल हय्युल 

क़य्यूमु ला तअ् खुज़ुहू सि-न तुंव-व ला नौम लहू मा

फि़स्समावातिं व मा फ़िल अर्ज़ि मन ज़ल्लज़ी यश् फ़उ 

अिन-द-हू इल्ला बिइज़्निही यअ्लमु मा बै-न एेदीहिम

व मा ख़ल-फ़ हुम व ला युहीतू-न बि शैइम मिन 

अिल्मि ही इल्ला बि-मा शा-अ व सि-अ

कुर्सि-युहूस्समावाति वल अर्ज़ि व ला यऊदु हू 

हिफ़्जुहुमा व हुवल अ़लीयुल अज़ीम. 

Ayatul kursi ka Arabic text, aur English text uper ki hadees me jikr kiya gaya hai

Ayatal kursi ko arabic pronountiation ke saath sahi talaffuz ke saath padhna chahiye lekin jo bhai theek se arabic nahi pdh sakte unke liye hindi me bhi Ayatal kursi text maujood hai Ummed karte hai ki Ayatul kursi ki Fazilat in Hindi ye information aapko pasand aayi hogi apne dost wa ahbaab ke saath share karna bilkul na bhoole.

Jazakallah hu khair

Ye bhi padhe:-

Hafiz e Quran ki Fazilat

Qurbani ki fazilat

Tahajjud ki namaz ki fazilat

5 thoughts on “Ayatul kursi ki Fazilat in Hindi”

Leave a Comment