Qurbani ki fazilat

QURBANI KI FAZILAT

Aaj hum Qurbani ki fazilat per baat karenge ki Islam me Qurbani ke kya fazail hai aur iski mazhab e Islam me kya ahmiyat hai.

Qurbani ki shuruaat kab hui?

Ek martaba Hazrat ibrahim khalil Ullah ne Khwab me dekha ki mai apne bete ko zabah kar raha hoon, kyunki nabiyon ka khwaab saccha hota tha aur Allah ki taraf se hota tha, aisi baat Allah ki janib se hukm diye jane ki tarah hai .phir Hazrat ibrahim khalil Ullah ne apne bete Ismail se kaha ki beta maine aisa khwaab dekha hai ki main tumhe zabah kar raha hoon beta tumhari kya rai hai bete ne kaha ki “ay Abba Jaan aapko jo hukm mila hai wo kar daliye aap mujhe inshaallah sabr karne walon me se paayenge” phir Hazart Ibrahim Khalil Ullah apne bete Ismail alaihissalam ko Makka se le kar chale aur mina (pahadi ke darmiyaan ek midaan hai) me ja kar zabah karne ki niyat se ek churi (knife) saath li.jab mina me dakhil hone lage to unke bete ko Shaitan bahkane laga Hazrat ibrahim khalil Ullah ko pata chala to 7 kankariya lekar usko mari jis ki wajah se wo zameen me dhans gaya ,dono baap aur bete aage chale to zameen ne Shaitan ko chod diya aur phir aakar bahkane laga .phir hazrat ibrahim alaihis Salam ne kankariya mari phir wo zameen me dhans gaya yahi wajah hai ki log haj karne ke dauraan shitan ko kankariya marte hai. uske baad aage badh kar apne bete Hazrat Ismail ko peshani ke bal lita diya ,abhi zabah karne hi wale the ki achanak ek awaz aayi “ay Ibrahim tum ne apne Khwab ko sach kar dikhaya“.phir Allah tala ne ek dimba bheja jis ko Hazrat ibrahim khalil Ullah ne apne bete ki taraf se zabah kar diya.

Hazrat Ibrahim alaihis Salam ne dumba ko zabah kiya lekin sawab mila bete ki qurbani ka kyunki dono baap aur bete Allah ke hukm ko poora karne ke liye dil o Jaan se qurbaan the .Allah ke yahan niyat dekhi jati hai apni niyat ke dono Hazrat ibrahim khalil Ullah aur Hazrat Ismail alaihis Salam sacche nikle.

Ye waqya qurbani ki shuruaat hai aur haj ke mauqe per mina me jo kankariya mari jaati hai us ki shuruaat bhi isi waqye se hoti hai Haji usi 3 jagah per kankariya marte hai jahan Shaitan dhnsa tha.jagah ki pahchan ke liye wahan per pathar ke minaar bana diya gyaa hai.uske baad se Allah ki raza ke liye janwar ki qurbaani karna ibadat me shumaar ho gaya hai. Isiliye jo Musalman haisiyat rakhta ho usko qurbaani karna wajib hai agar koi haisiyat wala na ho aur qurbani kar de phir bhi sawab ka mustahaq hoga.

Qurbani karne ka Tarika?

Qurbaani ki ahmiyat

Qurbaani ka asal maqsad zabah karke Allah ki raza hasil karna hai.agar koi admi qurbani ke dino me qurbani na karke Galla ,sadqa,paida taqseem kar de to ye qabile qubool nahi hoga.balki qurbaani na karne ka gunaah hoga har baal ke badle jo neki milne ki sadat thi wo khatam ho gayi .jaisa ki Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ka irshaad hai

“Jo shakhs haysiyat rakhte hue bhi Qurbani na kare wo meri eidgaah ke qareeb bhi na aaye”

Hazrat aisha raziallahu tala anha farmati hain ki Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki baka eid ki 10 tareekh ko koi bhi nek kaam Allah ke nazdeek qurbani ka khoon bahane se zyada Mahboob nahi hai aur Qayamat ke din qurbaani wala janwar apne balon aur seengho aur khuron ko le kar aayega aur je sari cheezen sawaab ka zariye banegi aur farmaya qurbani ka khoon zameen per girne se pehle Allah tala ke najdeek quboliyat ka darja pa leta hai lihaza tum khush dili ke saath qurbaani kiya karo.

Hazrat Abdullah bin Umar razi Allahu tala anhuma se riwayat hai ki huzoor sallallahu alaihi wasallam ne madine me 10 saal qayam farmaya aur saal qurbaani farmayi.in hadeeson me qurbni ki bahut zyada taqeed ki gayi hai.huzoor sallallahu alaihi wasallam ke pabandi se qurbani karne aur us ke liye taqeed karne per hi imam Abu Hanifa rahmatullahi alih ne Qurbani ko wajib kaha (wajib amal farz ke barabar hai).

Aaj hum sabne Qurbani ki fazilat ke baare me jana.

 

4 thoughts on “Qurbani ki fazilat”

Leave a Comment