Eid ki namaz ka tarika

Eid ki namaz ka tarika। ईद की नमाज का तरीक़ा।

Eidain (ईदैन) yani eid ul fitr aur eid ul azha ki namaz wajib hai magar sab per wajib nahi hai jin logon per juma ki namaz wajib hai un per Eidain ईदैन ki namaz bhi wajib ,juma aur Eid ki namazon ka aur juma ki namazon ki sharton me sirf itna farq hai ki jume ki namaz me khutba shart hai aur Eid ki namaz me khutba sunnat hai ,aur juma ka khutba namaz se pehle padha Jata hai aur Eid ka khutba namaz ke baad diya jata hai. Agar Eid ka khutba namaz se pehle padh liya to bhi namaz ho jayegi lekin aisa karna Bura hai. Ab hum Eid ki namaz ka tarika Poori details me Janenge.

Eid ki namaz kya hai

Eid ki namaz ka tarika Ye hai ki sabse pehle namaz ki niyat is tarah karenge.Niyat karta hoon main 2 raka’t Namaz wajib (Eid ul fitr) /(eid ul azha ki ) ki zaayed 6 takbeero ke peeche is imam ke munh mera kaba shareef ki taraf itna kahte hue kaano tak haath uthaye aur Allahuakbar kah kar Haath ko baandh le.

Iske baad sana padhe phir kano tak haath uthaye aur Allahuakbar kahta hua haath ko chod de ,phir kano tak haath uthaye aur Allahuakbar kahta hua chod de phir kano tak haath uthaye aur Allahuakbar kahta hua haath baandh le yani pehli Takbeer me haath bandhe uske baad 2 takbeero me haath ko chod de phir chauthi Takbeer me haath ko baandh le jab chauthi Takbeer per haath baandh le uske baad Auzubillahi-minashshaitanir-rajeem aur Bismilla-hirrahmanir-rahim padh ka surah fatiha padh le uske baad koi surah milaye ,phir ruku kare uske baad 2 sajda karne ke baad dusri raka’t ke liye jab khada ha to pehle Surah fatiha aur koi surah padhe uske baad 3 baar haathon ko jaan tak le ja kar Allahuakbar kahe aur haath na baandhe aur chauthi baar bina haath uthaye Allahuakbar khta hua ruku me chala jaye.isi tarah mallom hua ki eid ki namaz me 6 Zayed Takbeer hoti hai 3 pehli rakaat me Qirat se pehle aur 3 takbeer dusri rakaat me Qirat ke baad aur ruku se pehle ,har takbeeron ke beech me jo haath uthaye jayenge usme 3 baar tasbeeh padhne ke barabar ruke.yani ki itni der ruke ki 3 baar subhanallah kah sake ,eid ke din Mustahab hai ki pehli raka’t me surah aala aur doosre me surah gashiya pdhe, namaz ke baad imam 2 khutba padhe Jume ke khutbe me jo cheezen sunnat hai wahi sab Eid me bhi sunnat hai aur jo Batein juma ke khutbe me Makrooh hai wo eid ke khutbe me bhi Makrooh hai sirf do baton me farq hai ek ye ki jume ke pehle khutbe se pehle imama ka baithna sunnat hai aur Eid me na bithna sunnat hai dusra ye ki eid ke khutbe se pehle imam ka khutbe se pehle 7 baar aut member se utarne ke pehle 14 baar Allahuakbar kahna sunnat hai aur hume me nahi hai 

ईद का खुतबा


ALLAH HU AKBARU’ ALLAH HU AKBARU’ LA ILAAHA il lallahu wallahu AKBARU’ Walil lahil Hamad nahmaduhu wa nasta’eenuhu wa nastaghfiruh, wana’oodhu billaahi min shuroori anfusinaa wa min sayyi-aati a’maalinaa,,wa ash-hadu an laa ilaaha ilallaah, wahdahu laa shareeka lah, wa ash-haduanna muhammadan ‘abduhu wa rasooluh. Amma baad ! Qalan Nabiyyu sal lallahu Alyhi wasallam ‘Inna li kulli Qomin Eidan Wa Haza Eiduna Aaudo Billah e mi Nash shytanir rajeem Bis millahir Rahmanir Raheem ‘ Qul huwallahu Ahad •Allah hus samad Lam yalid Walm yu Lad Walm Yakun l Lahu kufoowan Ahad • Sada Qal Laahul Azeem •

Dusra Khutba


ALLAH HU AKBARU’ ALLAH HU AKBARU’ LA ILAAHA il lallahu wallahu AKBARU’ Walil lahil Hamad Alhamdulillahi Rabbil Aalameen Wal Aqibatu lil Muttaqim Allah humma Salli Alaa Muhammad Wa Aalaa Aali Muhammad Wa Barik Wassalim • Allah humma Irfa Annal Blaa A Wal Wbaa A Inna-llaaha ya-muru bil-‘adli wal-ihsaan, wa eetaa-i dhil-qurbaa, wa yanhaa ‘anil-fah-shaa-i wal-munkari wal-baghee, ya’idhukumla’allakum tadhakkaroon.

 

Eid ki namaz ka waqt। ईद की नमाज का वक़्त।

 

Eid ki namaz ka waqt ek nezah suraj buland hone se nisf nihar sharai yani aadhe din tak hota hai ,agar kisi wajah se eid ki namaz pehle din nahi ho padhi gai jaise tez baarish ki wajah ta tez aandhi aane ki wajah se eid ki Namaz doosre din padh sakte hai agar teesre din eid ni Namaz nahi hogi.

 

Eid ul azha me namaz ka waqt Eid ul fitr ki tarah hai lekin kuch cheezon me farq hai jaise namaz se pehle kuch na khana,agar qurbaani na karni ho phir kha liya to koi baat nahi ,raste me buland aawaz se Takbeer Tashreeq kahta hua jaye aur Eid ul azha ki namaz kisi wajah se 12 wi tak padh sakte hain.aur bina kisi wajah se 10 wi zilhijja ka nahi padh sakte.

 

Takbeer e tashreeq kya hai। तकबीर ए तशरीक क्या है।

9 wee zilhijja ki fazr se lekar 13 vee zilhijja ki asar tak 5 namazon ke farz namaz ke baad buland awaz se 1 baar Takbeer e tashreeq kahne wajib hai aur 3 baar kahna Afzal hai  ise Takbeer e tashreeq kahte hai

اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ لَا إلَهَ إلَّا اللَّهُ وَاَللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ وَلِلَّهِ الْحَمْد

Allahu Akbar,Allahu Akbar la ilaha illallah,Wallahu Akbar,Allahu Akbar Walillahil Hamd

Takbeer e tashreeq

Ye Takbeer Jume ki namaz ke baad bhi wajib hai vitr aur sunnat ke baad nahi.

ye bhi padhe:-

Qurbani ki fazilat

Qurbani karne ka Tarika?

1 thought on “Eid ki namaz ka tarika”

Leave a Comment