Safar me namaz kaise padhe

Safar me namaz kaise padhe। सफर में नमाज़ कैसे पढ़े।

Safar me namaz kaise padhe , logon ke man me aksar ye sawal hota hai ki safar me kitni rakat padhni hai kitne dino ke safar me namaz ko Qasr karna hai, flight, train wagerah me namaz kaise padhni hai aaj hum hadeeson ki roshni me janenge ki Safar me namaz kaise padhe.

Safar me namaz padhne ke ahkaam। सफर में नमाज़ पढ़ने के अहकाम।

Hazrat Abdullah bin Umar razi Allahu tala anhuma ne bayan farmaya ki main ne rasool sallallahu alaihi wasallam ke saath ghar per aur safar per namaz padhi hai.ghar per rahne ki halat me maine aap sallallahu alaihi wasallam ke saath zuhar ki Namaz 4 rakaat farz padhi aur uske baad 2 raka’t Sunnat padhi,aur safar me maine aap sallallahu alaihi wasallam ke saath zuhar ki namaz 2 raka’t Farz padhi,aur uske baad 2 raka’t Sunnat padhi, aur safar me maine aap sallallahu alaihi wasallam ke saath namaz asar 2 farz padhi aur uske baad aapne koi sunnat ya nafil namaz nahi padhi ,aur magrib ki namaz aap sallallahu alaihi wasallam ne ghar me aur safar me barabar padhi unme koi kami nahi ki,ye din ki witr namaz hai uske baad ap 2 raka’t Namaz padhte the. (Tirmizi)

Explanation:-

Is hadees me namaz safar ki namaz ka zikr kiya gaya hai jisko namaz Qasr kahte hai Allah tala ne apne fazl se safar me farz namazon ki rakaton me kami farma di hai yani 4 rakaat wali namaz safar me 2 raka’t padhi jati hai , is qanoon me zuhar,asar,aur isha ki farz Namaz ko shamil kiya gaya hai, magrib aur fazar ki namaz me koi Qasr nahi hai ,hadees me zuhar ,asar ka zikr kiya gaya hai ,isha ki farz namazon ki qasr ka zikr dosri riwayat me hai.

Kitne lambe safar per safar ke hukm jari hote hai.। कितने लंबे सफर पर सफर के हुक्म

जारी होते हैं।

Agar koi aadmi 1 manzil ya 2 manzil ka safar kare to is safar se Shariyat ke ahkaam nahi badalte ,aur Shariyat ke qanoon se wo musafir nahi hoga ,poori namazein poori tarah padhi jayegi aur ramzan me poore roze bhi rakhe ga,jab rak aabadi ke andar chale tab tak Musafir ka koi humk nahi agar bus stop, railway station, airport aabadi ke andar hai to wo abadi ke hukm me aata hai agar ye sab aabadi ke bahar hai to bahar jate hi safar ke ahkaam shuru ho jayenge chahe wo city ke qareeb hi kyun na ho.

Safar ke masail। सफर के मसाइल।

Masla:- agar koi jagah itni door hai ki wahan log 3 din me pahuncha karte hai jiko 48 kilometre hota hai.

Masla:- Agar koi jagah itni door hai ki oont,aur aadmi ki speed se 3 manjil hai lekin train,car,bus aur plane me safar kare to jaldi se pahunch jaye tab bhi Shariyat me wo musafir hai.

Masla: jo koi Shariyat ke hisaab se musafir hain wo zuhar Aur asar,aur isha ki farz namaz 2 -2 rakat padhe aur sunnaton ka ye hukm hai ki agar fazr ki sunnaton ke siwa aur dosti namazon ki sunnatein chod dena durust hai.un sunnaton ko chod dene se kuch gunah nahi hoga aur agar jaldi na ho aur na hi apne dosto ka saath choot jane ka dar ho to sunnatein poori padh le .

Masla:- fazr aur magrib aur witr ki namaz me bhi koi kami nahin hain ,jaise hamesha padhi jati hai waise hi safar me padhti rahe.

Masla: musafir ko farz ,zuhar,asar aur isha ki farz namazon ko sirf 2 rakat hi padhna chahiye 4 rakaat padhna gunah hai

Masla:– Agar bhoole se 4 rakat padh le to agar dusri raka’t per baith kar tashahud padhi hai .tab to 2 rakatein farz farz ki ho gayi ,aur 2 rakatein nafil ki ho jayegi ,aur agar 2 raka’t per na baithe ho to 4 rakaat nafil ho gayi ,farz Namaz phir se padhe.

Masla:- Agar raste me kahin ruk gaye ,aur agar 15 din ya us se zyada rukne ko niyat kar li hai to ab wo musafir nahi rahi,phir agar plan change ho gaya phir 15 din se pehle jane ka irada kar liya to bhi musafir nahi kahlayega yahan ruk kar namazein poori padhna padega.lekin agar ab jahan jane ka irada hai hai aur wo jagar 3 meel se door hai to wo phir mussafir ho jayega . agar doori 3 meel se kam hai to musafir nahi kahlayega poori namaz padhna padega.

Masla: Agar raste me kayi jagah rukne ka irada ho 10 din yahan 5 din wahan lekin poore 15 din rukne ka irada kahin nahi ho tab bhi musafir rahega.

Masla: kisi ne apna city bikul chod diya ho ,aur dosri jagah ghar bana liya ho wahin rahne laga ho ab purane ghar se koi matlab na ho to wo city aur ghar Pardes ki tarah hai agar safr ke dauraan raste me pehla Shahar pade aur 3 se 4 din rukna musafir rahega musafir ki tarah namaz padega.

Masla: shadi ke baad agar aurat permanent apni sasuraal me rahne lagi to ab us ka asli ghar sasuraal hai agar Aurat 3 manzil chal kar maike gayi ,aur 15 din tharne ki niyat nahi hai to wahan musafir rahegi.shariyat ki qanoon ki tarah namaz padhegi.

Masla:– nadi me kashti chal rahi ho aur Namaz ka waqt aa gaya to isi chalti naavo per qible ki taraf ho kar namaz padh le agar khade hokar padhne me sir ghoome to baith kar padh le.

Masla:– train me namaz padhne ka yahi hukm hai .

to aaj hum logon ne Safar me namaz kaise padhe aur is ke masail ko jana.ummeed karte hai ki aapko kuch knowledge mili hogi .

Popular posts

Namaz ke wajibaat। नमाज़ के वाजिबात

Namaz ke faraiz

Witr ki namaz kaise padhe

 

 

Leave a Comment