Islami aqeeda kya hai

Islami aqeeda kya hai

To dosto aaj hum Islami aqeeda kya hai  is topic se related poori tafseel se baat karenge jaisa ki aap sab ko maloom hai  ki jis  admi  ka aqeeda durust nahi uski sari  ibadat bekar hai bagair iman aur sahi aqeedah ke koi amal qubool nahi hai.

Aqeedah –1

Allah ne is duniya ko paida farmaya ,duniya khud ba khud wajood me nahi aayi.

Aqeedah-2

Allah 1 hai wo kisi ka mohtaaj nahi na us ko kisi ne paida kiya aur na us ki koi bivi hai aur us ka hunar aur barabar koi nahi .ye adeedah bahut hi khaas hai.

Aqeedah-3

Wo hamesha se hai aur hamesha rahega

Aqeedah-4

Koi cheez uske Jaise nahin vah sabse Nirala hai.

Aqeedah-5

Woh Zinda Hai Zinda rehne Wala Hai har cheez per uski qudrat hai.

Aqeedah-6

Koi cheez uske ilm se bahar nahin vah sab kuchh dekhta aur sunta Hai.

Aqeedah-7

Wo Kalam farmata hai lekin uska Kalam ham logon ki Kalam ki tarah nahin Hai.

Aqeedah-8

Woh Jo chahta Hai Karta Hai koi usko rok tok karne wala nahin Hai

Aqeedah-9

wahi ibadat ke layak hai uska koi sajhi nahin wo Apne bando per meherban Hai, Badshah Hai,sab aiboon se paak Hai,jabardast Hai,ijjat Wala Hai, badhai wala hai, sari cheezon ka Malik hai,uska koi paida Karne Wala nahin gunaho ka bakhshne wala hai, bahut dene wala hai ,Rizq pahunchane Wala Hai, jiski Rizq chahe tang kar de aur jisko chahe jyada kar de,jisko chahe beijjat kar de jisko chahe buland kar de jisko chahe izzat de jisko chahe zillat de, Insaaf wala hai, bade tahammul aur bardasht wala, hai ibadat ki qadar Karne Wala Hai ,Dua ko qabool karne wala hai vah sab per Hakim hai ,us per koi Hakim nahin, uska koi kam hikmat se Khali nahin, wo sab ka kam banane wala hai, wahi jilata Hai, vahi maarta hai, jo kuchh vajud mein Hai ISI ke irade Se Hain, aaram ho, Rahat, dukh ho ya taklif har marz ki Shifa, tandrusti nafa sab kuchh usi ki iRade Se hota Hai.

Aqeedah-10

usko nishaniyon aur sifaton ko sab jante Hain uski Jaat ko bilkul Puri tarah ham nahin Jaan sakte, gunahgaro ki Tauba qabool karta hai, jo Saja to kabil hai unko Saja deta Hai, Puri duniya mein Jo kuch hota hai usi ke haq mein hota hai,aur uske hukm ke khilaf koi Jarra bhi nahin hil Sakta, koi patta bhi nahin Sakta, na vah sota hai na vah jagta hai na usko kabhi oongh aati Hai, vah tamam duniya ki hifazat se thakta nahin hai,wahi sab chijon Ko thame hue hai aur acchi aur buri tamam sifaton se hamesha waqif Hai uski sifaate hamesha rahegi aur usko koi sifat kabhi khatm nahin ho sakti.

Aqeedah-11

Puri duniya mein Jo kuchh bhi Bura Bhala hota Hai sab Ko khuda tala uske hone se pahle hamesha se jaanta hai aur apne Jaan ke mutabik usko paida Karta Hai sari duniya mein jitne bhi makhlook Hai uske bare mein usne pahle Se Tay kar rakha hai aisa Aisa hoga iski takdeer uske Naam per likh Di gai hai aur vahi chijon ko paida Karne mein bahut alag alag se baten Hain jinko vahi jaanta hai.

Aqeedah-12

bandhuon ko Allah tala ne samajh aur irada Diya Hai jisse vah Gunah aur sawab ka kam Apne irade Se karte hain.aur apne is ikhtiyar Se hi momin aur kafir hote hain AL Batta iman wa kufr aur neki aur badi sabka paida Karne Wala Allah tala hi hai.

Aqeedah-13

Allah jise chahta Hai hidayat deta hai aur jise chahe Gumrah kar deta hai, use per kisi ka Jor nahin chalta, aur bando Ko kisi kaam ke paida Karne ki qudrat nahin ,Gunah ke kamon se Allah tala naraz hote hain aur sab ake kamon se Khush hote Hain.

Aqeedah-14

Allah tala ne apne bando ko Aisa kam ka hukm nahin diya jo Banda karna sake

Aqeedah-15

Koi cheez khuda ki Jimme jaruri nahin wo Jo kuchh apni meherbani se ata farmaye uska fazl hai

Aqeedah-16

Allah ke bheje hue nabiyon ne sidhi raah batane ke liye duniya me aaye aur wo sab gunahon se paak hai poori ginti Allah ko hi sahi maloom hai,unki sacchai batane ko Allah ne un ke haathon aisi cheezen zahir ki jo Jo log nahin kar sakte, aisi baaton ko mojija kahate Hain . In mein sabse pahle Hazrat Adam Alahissalam the uske bad Hazrat Muhammad Mustafa sallallahu tala alaihi wasallam the in donon bhaiyon ke darmiyaan tamam Nabi aaye.inmein se kuchh bahut mashhur hai Jaise Hazrat nooh Ali Salam Hazrat Ibrahim Ali Salam Hazrat Musa alahissalam, Salaam Hazrat Shoiab alahissalam, Salam Hazrat Ismail alaihis Salam ,Hazrat yaqoob alaihis Salam, Hazrat Yusuf alaihis Salam , Hazrat Suleman Alaihis Salam, Hazrat Dawood Ali Salam ,Hazrat Suleman AlaihisSalam Hazrat Yunus alaihis Salam,Hazrat nooh alaihissalam Hazrat idrees alaihis Salam Hazrat Ilyas Ali Salam Hazrat Shoaib alaihissalam Hazrat hud alaihissalam.

Aqeedah-17

Sab nabiyon ki ginti Allah tala ne kisi Ko nahin bataiye isliye yah aqeeda rakhen ki Allah tala ke bheje hue jitne paigambar Hai ham sab Par iman late hain aur Jo humko maloom Hai un per bhi aur Jo nahin maloom per bhi.

Aqeedah-18

paigambaron mein kuchh ka martaba kuchh Se bada Hai Sabse bada martaba hamare aapka sallallahu ala wasallam ka hai aur aap sallalllahi alaihi wasallamsallam ke bad koi naya Nabi nahin a sakta Qayamat Tak jitne aadami hain aur Jin honge aap sab ke paigambar hai.

Aqeedah-19

hamare paigambar sallallahu alaihis Salam Ko Ek Raat Allah tala ne Jagate mein jism ke sath makke se baitul muqaddas aur vahan se satavan Aasman par aur vahan se jahan tak Allah tala ko manjur tha wahan pahunchaya aur fir isi Raat mein Makka pahuncha Diya usko meraj kahate Hain.

Aqeedah-20

Allah tala ne kuchh makhluqat ko Noor se paida farmaya jo hamari najron se chhupa Diya Hai unko Farishta kahate Hain, bahut se kam unke hawale kiye Hain aur vah kabhi Allah ke khilaf koi Kam nahin karte Jiska kam mein Laga Diya gaya haiusi mein Lage hue hain Hazrat jibraeel alaihis Salam bahut mashhur hai Hazrat ambiya Ikram alahissalam per Allah ki taraf Se vahi late hain Quran Majeed bhi Allah tala ne inhi ke zariya nazil farmaya unko Quran Majeed mein rohul Ameen ke lakab se bhi mukallab farmaya hai.

Aqeedah-21

Allah tala ne kuch makalukaat Ko Aag se banaya Hai vah bhi humko nahin dikhai dete unko Jin kahate Hain. Aur in me momin, kafir nek aur bad sab tarah ke hote hain unke alava bhi hote hain UN sab mein jyada mashhur iblis Shaitan Hai.

Aqeedah-22

Musalman Jab khoob ibadat karta hai aur gunaho Se bachta Hai Aur duniya Se Mohabbat nahi rakhta hai,aur Nabi Kareem sallallahu alayhi wa sallam ka tabedar hota Hai to Allah ka dost aur pyara ho jata hai,aise shakhs ko wali kahate Hain is shaks Se bhi aisi baten zahir hone lagti Hain Jo aur logon se zahir nahin Hoti in baton ko karamat kahate Hain.

Aqeedah-23

wali kitne bhi bade darje ko pahunch jaye Magar Nabi ke barabar nahin ho sakta, aur koi shakhs kuda ka kaisa Hai pyara Ho jaaye Jab tak hosh O Hawas baki Ho shariyat ka Paband rahana farj Hai,Shariyat ka Paband rahana farj Hai Namaz , Roja Joki ibadat hai usse maaf nahin Hoti aur koi Gunah uske liye Jaiz nahin ho jata.

Aqeedah-24

Jo Shaksh Shariyat ke khilaf hi woh khuda ka dost nahin ho sakta agar uske hath Se ajnabi jaisi Baat dikhai de to vah Jadu Hai ya Nafshani aur Shaitani dhandha hai aisa Shaksh gumra ah hai aise aamdi per aqeedah rakhna aur mureed hona gumrahi hai.

Aqeedah-25

Allah Rasool ne deen ki sab baten Quran hadees mein bandon Ko Bata diya ab koi nai baat din mein nikalna durust nahin aisi nai Baat Ko bidat kahate Hain bidat bahut bada Gunah hai.

Aqeedah-26

Allah tala ne apne paigambar per bahut bahut hi chhoti badi kitabe Nazir pharmayien , taki vah apni apni umra ton ko padhen Aur din ki baten sunayen. inmein 4 kitaben bahut mashhur hai tauraat Hazrat Musa Ali Salam ko Mili zaboor Hazrat Dawood alaihis Salam ko Mili, injeel Hazrat isa Ali Salam ko Mili, Quran Majeed hamare Nabi sallallahu alaihis Salam ko mili, aur Quran Majeed aakhri kitab Hai ab koi kitab Aasman Se Na zil na hogi Qayamat Tak Quran hi ka hukm chalta rahega dusri kitabon ko Gumrah logon ne bahut kuchh Badal Dala Magar Quran Majid kei negeh bani ka Allah tala ne wada farmaya is ko koi nahin Badal Sakta.

Aqeedah-27

hamare Nabi sallallahu alaihi wasallam Ko Jin logon ne iman ki halat mein dekha aur FIR UN per unko maut a gai to usko Sahabi kahate Hain unke bade marte hue hain sab Se Mohabbat aur achcha guman rakhna laami hai aur un me char Sahabi zada mashhur hai aur martaba mein, dusre sabse bade Hazrat Abu Bakr Siddiq razi Allahu tala anhu,yah hujur sallallahu alaihi wasallam ke bad khalifa bane Jo tamam Ummat mein sabse afzal Hain, un ke bad Hazrat Umar razi Allahu tala anhu sari ummat se Afzal Hai yah dusre Khalifa Hain, Jo Hazrat Abu Bakr razi Allahu tala anhu ke bad Khalifa hue UN ke bad Hazrat Usman razi Allahu tala anhu sari ummat se Afzal Hain Jo Hazrat Umar razi Allah tala anhu ke bad Khalifa hue yah Teesre Khalifa Hain unke bad Hazrat Ali razi Allahu tala anhu sari ummat se Afzal Hain Jo Hazrat Usman razi Allahu tala anhu ke bad Khalifa hue yah chauthe Khalifa hai.

Aqeedah-28

Sahabi ka itna bada rutba hai ki bade se bade wali bhi kisi sahabi ke barabar martabe Ko nahin pahunch Sakta

Aqeedah-29

hamare huzoor salla wale Salam ki sab aulad azwaj yani ki biwiyan tazeem ke layak hain aur aulad mein sabse bada martba Hazrat Fatima razi Allah tala anha ka hai aur biviyon mein Hazrat Khadija Razia Allahu tala anha ka hai aur Hazrat Ayesha razi Allahu tala ka hai.

Aqeedah-30

iman jab durust hota hai ki Allah ke rasul sallallahu alaihi wasallam Ko sab baton mein saccha samjhe aur UN sab Ko man le Allah aur Rasool sallallahu alaihiwasallam ki kisi Baat mein shak karna ya usko jhutlana us me aib Nikalna ya uska majak udana kufr hai in SAB baton Se hi iman jata rahata hai.

Aqeedah-31

Quran hadees ke khule khule matlab Ko Na manana usmein apna matlab karke apna matlab Banana ya kuch batein gadhna yah Baddini hai.

Aqeedah-32

Gunah ko halal samajhne se iman jata rahata hai.

Aqeedah-33

Guna chahe kitna bada ho jab tak usko Bura samajhta rahe iman nahin jata albatta Guna se iman kamjor ho jata hai.

Aqeedah-34

Allah tala se nidar ho jana ya na ummid ho jana kufr hai.

Aqeedah-35

Najoomi vagerah se Deen ki baten puchna aur use per yakin kar lena Kufr ki Baat Hai.

Aqeedah-36

chhupi Hui baton ka Hal Allah ke siwa kisi Ko nahin pata Allah ne apne nabiyon ko bahut hi gaib ki baten bataiye thi hamare Nabi sallallahu alaihi wasallam ko sabse jyada Ilm gaib Diya aur bahut hi jyada gaib ki baton ko khabar di Magar Allah taala ji aalimil gaib haiAllah ke siwa kisi Ko alimul gaib kahana durust nahin.

Aqeedah-37

kisi ka Naam lekar kafir kahana yah lanat karna durust nahin hai haan you kah sakte hain ki zalimon per lanat ,jhutha per Allah ki lanat Magar jinka Naam lekar Allah aur Rasool sallallahu wale wasallam ne Lanat ki Hai yah unke kufr per Marne ki khabar di hai unko kafir kahna maloon kahana jayaz hai .

Aqeedah-38

Jab aadami mar jata hai agar dafan kar diya jaaye to dafan ke bad aur dafan na kiya jaaye to jis Haal mein bhi ho use ke pass do farishte aate Hain Jin mein Ek Ko Munkar aur dusre ko Nakeer kahate Hain. Vah kar puchte Hain ki Tera parwardigar kaun hai? Tera din kya hai?Hazrat Muhammad sallallahu Salam ke bare mein puchte Hain ki vah kaun hai? Agar vah imandar Hai to theek jawab deta hai,phir uske liye Jannat ki khidki khol dete Hain jisse Jannat ki khushbu aati rahti hai aur Qayamat aane Tak vahan khoob maje mein rahata hai aur agar wo murda imandar Na Ho tab sab baton mein yahi kahta Hai ki mujhe kuchh khabar nahin FIR use badi Shakti ka Azab Qayamat Tak hota rahata Hai, Magar yah sab baten murde ko maloom hoti hai ki Jinda log nahin dekhte aur na sunte Hain Jaise sote aadami Khwab mein bahut kuchh dekhta hai aur jagta aadami uske pass bekhabar baitha rahata hai.

Aqeedah-39

marne ke bad har din subah Shaam murde ko Jo thikana Hai vah dikhaya Jata Hai jannati Ko Jannat dikha kar khushkhabri dete hain aur dozakhi ko dozakh dikha kar Hasrat aur ranjo gam badhate Hain.

Aqeedah-40

Musalman murde ke liye dua karne se ,kuch khyariyat de kar bakhshne se ,us ki taraf se hajj karne se us ko sawab pahunchta hai , aur usko usse bada fayda hota hai.

Aqeedah-41

Allahu aur Rasool ne jo nishaniyan Qayamat ki batai hai wo sab zahir hongi ,imam mehdi ka bhi zuhoor hoga aur khoob insaf se faisla karenge ,dajjal ka aana hoga,isa alaihis Salam ka aana aur bahut sare nishaniyan hai zahir hongi.

Aqeedah-43

Jab Qayamat ki nishaniya poori ho jayegi aur ek musalman bhi zinda nahi rahega aur kafir bahut hi aish ki zindagi guzaar rahe honge ,Allah ke hukm se hazrat israfeel alahissalam soor phonkne ,is soor ke phoonkne se aasmaan fat jayega ,sitare be Noor ho jayega ,Chand suraj ki roshni jati rahti hai ,zameen me bhonchaal a jayega ,asmaan fat kar tukde tudke ho kar rah jayenge ,pahad rui ki tarah ude hi ,aur sari makhlooq mar jayegi ,aur sab matre hue be hosh ho jayenge ,Magar jis ko Allah chahega bacha lega.

Aqeedah-44

Phir jab Allah tala ko manzoor hoga ,soor phonka jayega ,us se phir sara aalam Jinda ho jayega ,murda zinda ho jayega, aur ek maidan me hisaab kitab ke liye sab ikatthe ho jayenge ,isi ko roze Qayamat kahte hain ,isi tarah ki takleef se ghbra kar sab log baari baari ambiya ke paas jayenge sare log inkar kar denge akhir me log Hazrat muhammad sallallahu alaihi wasallam ke paas jayenge aap sallallahu alaihi wasallam sare logon ki shifa’at karenge.hisaab kitab shuru hoga sab ke amal balance kiya jayega nek logon ka namae amaal Dahine haath me Diya jayega ,aur bure logon ka amaal nama bayen haath me Diya jayega.

Aqeedah-45

Dozakh paida ho chuki hogi dozakhiyon ko tarah tarah ka Azab de kar unki saza poori kar ke Jannat me daal diya jayega ,aurbkafir aur mushrik humesha ke liye jahannam me rahenge

Aqeedah-46

jannati paida ho chuki hai aur ISI mein tarah tarah ke chain Aur nemat Hain Janataiyon Ko kisi tarah ka dar aur gam nahin hoga aur Na kisi tarah ki koi taklif hogi wo usme humesha rahenge kabhi nahi niklenge .

Aqeedah-47

Allah talla chahe to gunahon per Saja de chahe to pora gunah hi ko maaf kar de ye us ke aktiyaar me hai .

Aqeedah-48

shirk Aur kufr ka Gunah Allah tala kabhi kisi ko maaf nahin karta aur inke alava jo aur Gunah hai usko maaf kar sakta hai apni meherbani se .

Aqeedah-49

Jin logon ko allah ke rasool ne jannati bata diya hai unke alawa kisi aur ko yaqeeni taur per jannati nahi kaha ja sakta.

Aqeedah-50

Jannatiyon ko sab se badi nemat ye hogi ko usko Allah ka dedaar naseeb hoga,is nemat ke alawa tamaam nemat bekaar hogi

Aqeedah-51

Duniya me jagte hue Allah ko kisi ne nahi dekha aur na to dekh sakta hai.

Aqeedah-52

Zindagi bhar koi bhi aadmi kitna hi Bura ya Bhala ho uske iman ka faisla uske khatme per hoga yaani ki wo kis haal me mara ,iman wala ya kafir.

Aqeedah-53

Marte waqt iman Lana qabile qubool nahi hoga.

To dosto aaj humne jana ki Islami aqeeda kya hai jabki ye topic itna pada hai ki isko ulma e kiram ne bahut hi tafseel se apni kitabon me zikr kiya hai. Islami aqeeda kya hai hum sab ne detail me jana is post ko shre karen taqi malomaat doosron tak pahunch jaye.

Jazakallah

3 thoughts on “Islami aqeeda kya hai”

Leave a Comment