Sone se pehle ki dua in hindi

Sone se pehle ki dua in hindi । सोने से पहले की दुआ

Aaj hum janenge Sone se pehle ki dua in hindi ke baare me Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne hum sab ko zindagi jeene ka tarika aur zindagi me karne wale kaamon ke baare ek ek karke bahut hi acchi tarah se bataya hai un kaamon ke karne se pehle kuch duaien bhi batayi hain jin ko padh kar hum sawab hasil kar sakte hai aur shitan mardood ke waswason se bach sakte hain. Aaj hum aapko sone se pehle padhi jane wali duaon ke bare me batayenge.

Sone ka sunnat tarika

Sone se pehle Surah الم سجدہ aur تبارك الزي yani surah AL-MULK Sone se pehle ki dua in hindi padh kar sona chahiye

Sone se pehle dono hatheliyan milakar surah- e -ikhlaas yani qul huwallahu ahad aur surah falaq yani qul awuzu birabil falaq aur phir surah naas yani qul awuzu birabbin naas padh kar haath per dum kare ya phoonk mare aur haat poore badan per pher le ye amal 3 martaba kare.

Ek hadees me aata hai ki Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jab tum raat me sone ke liye apne bistar per pahuncho to pehle Ayatal kursi pedh liya karo isko padhne se Allah tala ek bodyguard ko laga dete hai jo subah tak Shaitan se hifazat karta hai.

Ayatal kursi yahan padhe↓

Ayatal kursi ki Fazilat in Hindi

Bistar per letne se pehle 33 martaba subhanallah 33 martaba Alahumdulillah 34 martaba Allahuakbar padhna chaiye ye aapke paas khade hue ek khadim se behtar hai.

Bistar per jane se pehle bistar ko accji tarah se jhade Taqi koi dhool ya insect se clear ho jaye , right side ki taraf ho kar lete aur apne right side hand ke niche apna sar (head) rakhe aur left-side ka haat niche rakhe aur ye dua padhe.۔

sone se pehle ki dua
sone se pehle ki dua

 

 

 

 

 

 

 

 

 

اَللّٰھُمَّ بِاسْمِکَ اَمُوْتُ وَاَحْیٰی

Translation:- Ay Allah !Mai tera naam lekar marta aur jeeta hoon.

اے اللہ ! میں تیرا نام لے کر مرتا اور جیتا ہوں۔

O Allah (Almighty) I live and die in your name.

Bukhari shreef (6312)

Agar aapko ye jankari acchi lagi ho to dosto ke saath share karein

Jazakallah hu khair

 

3 thoughts on “Sone se pehle ki dua in hindi”

Leave a Comment