Wazu aur Gusal ke zaroori masail

Wazu aur Gusal ke zaroori masail। वज़ू और गुस्ल के ज़रूरी मसाइल।

Wazu aur Gusal me kuch aise masail hain jin ka jaanna bahut hi zaroori hota hai .masail ka pata hona isliye zaroori hota hai kyunki aapko apne amal ke ke baare me pata chale ki jo kaam maine kiya hai wo durust kiya ya galat kiya. to aaj hum Wazu aur Gusal ke zaroori masail। वज़ू और गुस्ल के ज़रूरी मसाइल। pe baat karte hain ,to pehle hum baat karenge wazu ke zaroori masail ke baare me.

Wazu ke zaroori masail। वज़ू के ज़रूरी मसाइल।

Masla: Agar kisi ke haath ya pair me kat gaya ho aur usme dawa bhari hui hai,agar us dawa ko nikalne me kuch dard ya takleef ho to us jagah ke upar se paani se haath fer de to wazu ho jayega.

Masla:wazu karte waqt iedi (Heel) ya kisi aur jagah paani nahin pahuncha,aur jab wazu ho chuka tab maloom hua ki kuch jagah pani nahi pahunch paaya to wahan sirf haath pher lene se wazu nahi hoga poora paani bahana padega.

Masla: Agar haath pair wagerah me koi Dana nikla ho ya funsi wagerah nikli ho jis per Pani dalne se nuqsaan ho sakta hai to us jagah per paani na dale,wazu karte waqt us per bheega hua haath pher le to usko masah kahte hain,agar masah karyna bhi nuqsaan deta hai to haath bhi na phere itni jagah chod de ( nuqsaan karna aur na karna doctor ki salah se hoga)

Masla:Agar kisi zakhm per patti bandhi hui ho,aur patti khol kar zakhm per masah karne se nuqsaan ho,ya patti kholne bandhne me badi dikkat aur takleef ho to patti ke upar se masah kar lena bhi durust hai agar aisa na ho to patti per masah karna durust nahi hai patti khol kar zakhm per masah karna chahiye.

Masla:- Agar poori patti ke niche Zakhm nahi hai to agar patti khol kar baqi jagah ko dhoye aue zakham wali jagah ko chod de,agar patti kholne wala koi nahi hai to poori patti per masah kar sakta hai.

Masla:Jis cheez ke nikalne se wazu toot jata hai wo cheez najia hoti hai aur jis se wazu nahi toot ta wo najia nahi agar zara sa khoon nikla aur apni jagah se baha nahi to wazu nahi toote ga ,Agar ulti aayi aur munh bhar ker nahi aayi tab waU nahi toote ga.

Masla: Agar wazu ke baad kisi ka satar dekh liya ya apna satar khul gaya ,ya nange hokar nahaya aur nange hi wazu kiya tb bhi wazu durust hai.in sab duration me wazu ne dohrane ki zarurat nahi hai,lekin kisi ka satar dekhna ya dikhlana ye haraam hai.

Masla: Agar wazu karne ke baad nakhun kate,ya kisi jagah ki khaal noch daali ho to us se wazu nahi toot ta aur us jagah ko dobara dhona bhi zaroori nahi hai.kabhi kabi aisa hota hai ki wazu jab kiya to yaad hai lekin ye yaad nhi ki wazu hai ya toot gaya to uska wazu baqi samjha jayega aur agar dobara wazu kar le to zyada behtar hai.

Masla: Nabalig bacche jo Quran Majeed ko padhte hai unko adat dalwai jaye ki wazu kar ke Quran ko chuye ,lekin is baare me sakhti na ki jaye wo be wazu bhi Quran choo sakta hai.

Ab hum baat karenge Gusal ke kuch zaroori masail ke baare me

Gusal ke zaroori masail

Masla:-Gusal ada karte waqt khoob acchi tarah munh bhar kar halaq tak paani le jakar kulli karna aur jahan tak naak ki naram haddi tak pani pahunchana aur kaan me pani pahunchana farz hai.

Masla:- Gusal karte waqt shuru me jab toilet kare to khul kar baithe Taqi jahan tak paani ja sakta hai chala jaye ,aise Aurat apni private part tak paani ko pahunchaye warna Gusal nahi hoga.

Masla:- Naak ki keel , angoothi ,ya kaan ki baaliyon ke surakh me bhi khoob khayal karke paani ko pahunchaye aur angoothi Ring ke challon ke niche pani pahunchana zaroori hai haathon ki baglon me aur jaanghon me bhi paani pahunchaye.

Masla:- Agar Gusal me kisi jagah pani pahunchana bhool jaye to yaad aane ke baad poora Gusal dohrana zaroori nahi nahi hai.sirf usi jagah per paani bahable jo jagah sookhi rah gayi ho.

Masla:- Agar nakhoon me aata bhar kar sookh gaya phir wazu ya Gusal kiya aur Pani andar tak pahunch gaya to wazu Gusal ho gaya,warna us nakhoon se aate ko saaf kar ker dho le

Masla:- Agar daanton per gandagi jami hui ho ya daanton ke andar chaliya atki hui ho to usko nikal kar daant saaf karke Gusal kare warna Gusal nahi hoga

Masla:- Nail polish jo aaj kal nails ke uper lagayi jati hai us le Lage hue wazu aur Gusal nahi ho sakta kyunki ye rang nahi hai balki gaadhi cheez hai jiske andar paani nahi pahunchta hai.

Ye the Wazu aur Gusal ke zaroori  masail। वज़ू और गुस्ल के ज़रूरी मसाइल। Jinka jaanna har mard aurat ko bahut hi zaroori hai.

*Share for khair*

 

 

 

Leave a Comment