So Kar Uthane Ki Dua Hindi me

So Kar Uthane Ki Dua। नींद से जागने का सुन्नत तरीक़ा

Ye aaj ka topic So Kar Uthane Ki Dua Hindi me isme hum janenge ki so kar uthne ke baad kon kon sa sunnat amal kiya jata hai uske baare me baat karenge hadeeson ki roshni me .

Hadees me aata hai ki Jab admi neend se jaag jaye aur fir wazu kare wazu karte waqt apne naak ko 3 martaba acchi tarh saaf kare kyunki Shaitan naak ke baanse me poori raat guzarta hai।

(Sahih Bukhari-3295)

Wazu karne ka tarika

Wazu aur Gusal ke zaroori masail। वज़ू और गुस्ल के ज़रूरी मसाइल।

Jab aadmi so kar uth jaye to fauran apne bistar se uth kar na bhage thodi der bistar per hi baitha rahe apne haath ko Chehre per male neend ka effect thoda kam ho jaye phir ye dua padhe-

So kar uthne ki dua। Dua after awaking

الحَمْدُ لِلهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ.

Alhumdulillahilazi Ahyana B’ada Ma Amatana wailayehin nushoor

Translation:- Har qism ki tareef us Allah ke liye hai jisne hume Jinda kiya ,baad uske ki usne hume maar diya tha aur usi ki taraf uth kar jana hai.

(Sahih Bukhari-6312)

Aap is dua ko bhi padh sakte hain

Alhumdulillahilazi Aafaani fi-jasadi waradda alayya roohi Wa-aazina ki Bi-zikri.

(Tirmizi shreef-3401)

Neend se jagne ke baad Alhumdulillah kahe aur uske baad kalma padhe lailaha illallah muhammadur rasoolullah.

So kar uthne ke baad fauran kisi bartan me haath na dale pehle haathon ko acchi tarah dhoo le. Kya pata neend ki gaflat ki wajah se haath Kahan kahan gaya ho.

Jab so kar uthe uske baad miswak kare miswak ki bahut si fazilatein aayi hui hai .dosto islam hi ek aisa mazhab hai jike andar duniya ki sari feild se related maloomat batayi gayi hai ,zindagi ka koi aisa step nahi hai jahan per islam ne rahnumai na ki ho ,bas ya hamari badnaseebi hai ki hum us per amal nahi karte .allah hum sab ko amal ki taufeek ata farmaye.Aameen

Agar aapko ye informationSo Kar Uthane Ki Dua Hindi me pasand aayi ho to khair ki baaton ko failaye

Jazakallah hu khair

Leave a Comment