Toilet Jane Ka Sunnat Tarika। टॉयलेट जाने का सुन्नत तरीक़ा
Deen e islam ne zindagi ke har step per hum sab ki rahnumai farmayi hai aur allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne in tamam tarikon per amal karke ummat ko sikha diya ab zimmedari hum sab ki hai kilogon tak deen ki sahi information pahunchaye aaj hum ek bahut hi aham topic Toilet Jane Ka Sunnat Tarika aur toilet jane ki duaon ke bare me baat karenge.
Hazrat Abu Ayyub Ansari raziallahu tala anhu kahte hai ki Allah ke rasool sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya
“Tum jab toilet ke liye jao to kible ki taraf munh karke na baitho,aur na hi kible ki taraf peeth karo”.
(Bukhari shareef, Muslim shareef)
Hazrat Salman raziallahu tala anhu kahte hai ki Allah ke rasool sallallahu alayhi wasallam ne hume is baat se mana kiya hai ki
- Toilet ke waqt kible ki taraf munh na kare,
- Dahine haath se istinja na kare
- Napaak cheez se istinja na kre
- 3 pattharo (ya un cheezon se jin se istinja karna jaiz hai )se kam me istinja na kate.
(Muslim)
Agar kisi ke ghar me toilet ka bando baat na ho aur use bahar jana padta ho to usko chahiye ki itni door chala jaye jahan kisi ki nazar us per na pad sake.
Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki tum me se koi shakhs kisi suraakh ya kisi janwar ke bill me peshaab na kare
(Sunan Abu Dawood)
Hazrat Abdullah bin Mu’affal raziallahu tala anhu kahte hai ki Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
“koi shakhs apne Gusal khane me Peshaab na kare ,phir wahin nahaye aur wazu kare kyunki isse waswase paida hote hain.”
Hazart Abu Saeed raziallahu tala anhu farmate hai ki Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki
“2 aadmi is tarah toilet na kare ki unka satar (badan ka wo hissa jisko dhakna zaroori hai) ek dusre ke samne ho ya ek dusre ke samne satar khool kar bate karte rahe.”
(Ibn e Maja)
Hazrat Umar raziallahu tala anhu farmate Hain ki Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne mujh ko is haal me dekha ki mai khade ho kar peshaab kar raha tha to aap ne farmaya
“Ay Umar! Khade hokar Peshaab na kiya karo,phir uske baad Hazart Umar ne kabhi khade hokar Peshaab nahi kiya.”
(Tirmizi)
Is hadees me istinja se related bahut badi tambeeh ki gayi hai
Hazart Abu Huraira raziallahu tala anhu bayan karte hai ki Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Un 2 cheezon se bacho jo lanat ka zariya hai Sahaba ne poocha Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam wo 2 cheezen kya hai aap ne irshad farmaya” Jo Shaksh raste me peshaab ya toilet kare aur dusra wo jo logon ke rukne ya saaye lene ki jagah per toilet kare “ye dono shakhs lanat ke mustahiq hain.
Toilet Jane Ka Sunnat Tarika
(1)Aap sallallahu alaihi wasallam jab baitul khla tashreef le jate to joota pahen kar aur sir ko dhank kar jate.
(2) Aap sallallahu alaihi wasallam jab toilet me enter hote to left side ka pair pehle andar karte aur jab bahar nikalte to right side ka ka pair bahar nikalte aur ye dua padhte
Toilet Jane ki dua। Dua Before Entering Toilet
ﺍَﻟﻠّٰﮩُﻢَّ ﺇﻧِّﯽْ ﺍٔﻋُﻮْﺫُ ﺑِﮏَ ﻣِﻦَ ﺍﻟْﺨُﺒُﺚِ ﻭَﺍﻟْﺨَﺒَﺎﺋِﺚ
Bismillahi,Allahumma inni a’auzubika minal khubusi wal khabais.
Tarjuma:- ay Allah Mai teri panah me aata hoon napak jinno aur khabais se.
(3)Aap sallallahu alaihi wasallam ke farmya toilet karte waqt bila zaroorat baat na kare aur na hi koi zikr kare.
(4) Toilet karne se pehle paint ya shalwaar ko aasani ke saath jitna khol sake utna hi behtar hai phir aaram se baithe.
(5) Toilet jane se pehle Koi ring ho ya kisi cheez jis per Quran ki ayat ya Nabi ka naam likha hua ho to usko utar kar bahar rakh de,faragat ke baad bahar aakar pahen le.
Note:- Taweez jis ko mom jama kiya gaya ho usko pahen kar jana jaiz hai.
(6) Peshaab karte waqt private part ko dahina haath na lagaye balki left hand ka istemal Karen.
(7) Peshaab,aur dusri gandagi se bache kyunki aksar Azab e qabr peshaab ki cheenton se na bachne ki wajah se hota hai.
(8) Peshaab karne ke liye soft zameen talash kare taki peshab ki cheentein na pade.
(9) Baith kar peshaab kare khade hokar Peshaab na kare
(10) Toilet karne ke baad apne haathon ko kisi soap ya mitti se apne haathon ko paak kare.
(11) Aap sallallahu alaihi wasallam Hajat ke baad safai ke liye mitthi ke dhele zaroor le jate the un ki tadaad hamesha taaq yani 3,5,7 sum hoti thi .
(12) Toilet se bahar nikalte waqt right side ka pair pehle bahar kare aur ye dua padhe
Toilet Se Nikalne Ki Dua। Dua after leaving Toilet
اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ الَّذِي أَذْهَبَ عَنِّي الْأَذَى وَعَافَانِي
Tarjuma:- shukr hai Allah ka jis ne meri takleef ko door kiya aur mujhe Aafiyat bakhshi.
۔Thanks to Allah Almighty Who removed pain from me and granted me relief Alhumdulillahilazi Azhaba Annil Aza Wa-afaani.
(Tirmizi)
Aaj hum sab se Toilet Jane Ka Sunnat Tarika seekha wo bhi Ahadees ki roshni me umeed karte hai ki aap ko ye information pasand aayi hogi Deen ki baaton ko ek dusre ko share kare taki aapke dusre bhai tak bhi sahi information pahunch sake.
Jazakallah hu khair
Ye bhi padhe;-↓