Juma ki namaz ka tarika
Aaj hum juma ki namaz ka tarika ke bare me step by step poori detail se Janege.lekin usse pehle kuch cheezen jaanni bahut hi zaroori hai taaqi namaz e juma ke baare me aur juma ki namaz ka tarika aur tafseel se maloomaat hasil kar sake.
juma ki namaz Kya hai?
jume me kitni sharait (conditions) hai ?
juma Kon qayam Kar sakta hai?
jume ka khutba
khutbe Dene ke zaroori masail Kya hai?
Juma ki namaz Kya hai?
Juma farz aieen hai Yani iski farziyat zuhar ki namaz se zyada muakkad hai aur jume ka inkar karne Wala kafir hai .
Hadees Shareef me aata hai ki
“Jisne bhi teen jume barabar chood diye us be Islam ko peeth ke peeche daal Diya aur wo munafiq hai ,wo Allah se be ilaqa hai”.
Ek aur hadees me aata hai ki
“Allah ne Namaz e juma tum per farz Kar Diya hai .wo aadmi bila kisi uzr ke June ki Namaz ko tark karta hai Allah taala uske Dil per muhar laga deta hai.”
Juma me kitne sharait hai?
Jume ki Namaz padhne ke liye 6 sharait hai agar in me se koi shart choot Jaye to juma nahi hoga.
Bazaar, koocha ya pargana ka hona jin ke andar kuch village gaon ate hon. Jahan court, qabristaan, station ya is tarah ki jagah mawjood ho wahan juma ada Kiya ja sakta hai.
Hakim e waqt ka hona:-Dusri shart hai sultan ya us waqt ka Hakim ho. ,Hakim aadil ho ya zalim juma qayam Kar sakta hai.
Waqt ka hona, Jume ka waqt zuhar ka waqt hai isi waqt aur time ke andar hi juma ki Namaz ko qayam Kiya Jana chahiye.
Khutba: Jume me khutba shart hai isme shart ye hai ki khutba waqt me andar ho aur Namaz se pehle ho, aur aisi jammat ke samne ho Jo June ke liye zaroori ho Yani imam ke alawa 3 mard (aadmi) ka hona shrat hai is ke alawa juma nahi ho sakta.
Jammat:– Yani imaalm ke alawa Kam se Kam 3 mard aadmi hona chahiye warna juma nahi hoga, ,agar 3 gulaam ya musaafir ya goonge ya anpadh muqtadi hon to bhi juma ho jayega agar auraten ya bacche ho to phir juma nahi hoga.
- izne aam:- yani masjid ka darwaza khol Diya Jaye his musalman ka Dil chahe aaye kisi ko rok tok na ho agar jama masjid me darwaza band karke juma pasha gaya to juma nahi hoga.
Juma Kon qayam Kar sakta hai?
Juma Kon qayam Kara sakta hai ye baat logon ki taraf se bilkul gaflat me rahti hai ki log Jume ki namaz ko aam namazon ko tarah samajh lete hai jis ne chaha juma qayam kr liya, jis ne chaha padh liya ye na jayez hai. Is liye ki juma qayam karna Hakim e waqt ka kaam hai ya kisi bade mufti Jo ki sahi aqeede ka ho wo hukm de ya ijazat de .Bina ijazat ke juma qayam nahi ho sakta.
ye bhi padhe↓↓↓
Kya Islam Talwaar se Faila hai?
Juma ka khutba
Khutba Allah ke zikr ka naam hai agar ek baar alahumdulillah ya subhan Allah bhi kah Diya to bhi farz Ada ho jayega lekin khutbe ko itna choota karna bhi Makrooh hai.
Sunnah to ye hai ki do khutbe padhe jayen zyada lambe na ho.
Read moreJuma ki Namaz ka Tarika Kya Hai?